क़ुदरत रसूल अल्लाह की क़ुदरत रसूल अल्लाह की || Qudrat Rasool Allah Ki Qudrat Rasool Allah Ki
Qudrat Rasool Allah Ki Qudrat Rasool Allah Ki Lyrics
क़ुदरत रसूल अल्लाह की, क़ुदरत रसूल अल्लाह की
क़ुदरत रसूल अल्लाह की, क़ुदरत रसूल अल्लाह की
दुनिया है उन के हाथ में, उक़्बा है उन के हाथ में
महशर में देख लोगे तुम, क्या क्या है उन के हाथ में
जब आक़ा चाहे सुब्ह हो, जब आक़ा चाहे शाम हो
सूरज है उन के हाथ में, चंदा है उन के हाथ में
जिस जानिब रुख़ आक़ा करे, रुख़ जिस से चाहे फेर ले
अक़्सा है उन के हाथ में, का’बा है उन के हाथ में
मुख़्तार-ए-कायनात है, जो चाहो उनसे माँग लो
अल्लाह सारी ने’मतें देता है उन के हाथ में
हाज़िर है दिल में जाँ में वो, नाज़िर है दो जहाँ में वो
पर्दा है उन के हाथ में, जलवा है उन के हाथ में
बाँधे हैं पत्थर पेट पे, फिर भी ये हक़ है दोस्तों
पानी है उन के हाथ में, दाना है उन के हाथ में
क़िस्मत की उन की दोस्तों, हूरें बलाएँ क्यूँ न ले
उन के हुज़ूर आगे जो, देखता है उन के हाथ में
निस्बत से उनकी ग़ौस भी इतनी बुलंदियों पे है
राई के दाने की तरह दुनिया है उन के हाथ में
‘आदाएँ दीं का ख़ौफ़ क्या और हासिदी की फ़िक्र क्या
जब नूर अपनी ज़िंदगी देता है उन के हाथ में
Qudrat Rasool Allah ki, Qudrat Rasool Allah ki
Qudrat Rasool Allah ki, Qudrat Rasool Allah ki
Duniya hai un ke haath mein, Uqba hai un ke haath mein
Mahshar mein dekh loge tum, kya kya hai un ke haath mein
Jab Aaqa chahe subh ho, jab Aaqa chahe shaam ho
Sooraj hai un ke haath mein, chanda hai un ke haath mein
Jis jaanib rukh Aaqa kare, rukh jis se chahe pher le
Aqsa hai un ke haath mein, Ka’ba hai un ke haath mein
Mukhtar-e-Kaynat hai, jo chaho un se maang lo
Allah saari ne’matein deta hai un ke haath mein
Haazir hai dil mein jaan mein wo, Naazir hai do jahaan mein wo
Parda hai un ke haath mein, jalwa hai un ke haath mein
Baandhe hain patthar pet pe, phir bhi ye haq hai dosto
Paani hai un ke haath mein, daana hai un ke haath mein
Qismat ki un ki dosto, Hooren balaayen kyun na le
Un ke huzoor aage jo, dekhta hai un ke haath mein
Nisbat se unki Ghaus bhi itni bulandiyon pe hai
Raai ke daane ki tarah duniya hai un ke haath mein
‘Adaayen deen ka khauf kya aur haasidi ki fikr kya
Jab Noor apni zindagi deta hai un ke haath mein
सैयद मुहम्मद नूरानी अशरफ़ अल-जिलानी