बयाँ कैसे करूँ मैं भला मक़ाम-ए-हुसैन || Bayan Kaise Karoon Main Bhala Maqam-e-Hussain
Bayan Kaise Karoon Main Bhala Maqam-e-Hussain Lyrics
बयाँ कैसे करूँ मैं भला मक़ाम-ए-हुसैन
सुना है ख़ुल्द में भी होगा इंतिज़ाम-ए-हुसैन
बिठा के पुश्त पे सरकार ने नवासे को
ज़माने भर से कहा ये है एहतराम-ए-हुसैन
हुसैन दीन है इस वास्ते मैं कहता हूँ
हुसैन देखो, संभाले है ख़ुद लग़ाम-ए-हुसैन
ये इनकी शान-ए-इमामत नहीं तो फिर क्या है
यज़ीदियों ने कहा ख़ुद इन्हें इमाम-ए-हुसैन
ज़माना उन को अलैहिस्सलाम क्यूँ न कहें
दुरूदे पाक में शामिल है जब सलाम-ए-हुसैन
फ़रिश्तों चूम लो दहलीज़ को मेरी आकर
लिखा है प्यास से पानी पे मैंने नाम-ए-हुसैन
बुला के कासे पे अपने अना के सागर को
मिटा रहा है अना की अना ग़ुलाम-ए-हुसैन
लरज़ के बोले यज़ीदी ख़िताब-ए-जैनब पर
कलामे बिंते ‘अली है कि है कलामे हुसैन
वो शाने क़ुव्वते हैदर थी नूर कर्बल में
जो ज़ुल्फ़िक़ार-ए-‘अली को मिली नयाम-ए-हुसैन
Bayaan kaise karun main bhala Maqaam-e-Hussain
Suna hai Khuld mein bhi hoga intizaam-e-Hussain
Bitha ke pusht pe Sarkar ne nawase ko
Zamane bhar se kaha ye hai ehteraam-e-Hussain
Hussain Deen hai is waaste main kehta hoon
Hussain dekho, sambhaale hai khud lagaam-e-Hussain
Ye inki Shaan-e-Imaamat nahin to phir kya hai
Yazidiyon ne kaha khud inhen Imaam-e-Hussain
Zamaana un ko Alaihissalaam kyun na kahen
Durood-e-Pak mein shaamil hai jab Salaam-e-Hussain
Farishton choom lo dehleez ko meri aakar
Likha hai pyaas se paani pe maine Naam-e-Hussain
Bula ke kaase pe apne ana ke saagar ko
Mita raha hai ana ki ana Ghulam-e-Hussain
Laraz ke bole Yazidi Khitaab-e-Zainab par
Kalaam-e-Bint-e-‘Ali hai ki hai Kalaam-e-Hussain
Wo Shaan-e-Quwwat-e-Haidar thi Noor Karbal mein
Jo Zulfiqar-e-‘Ali ko mili Nayaam-e-Hussain
सैयद मुहम्मद नूरानी अशरफ़ अल-जिलानी