ग़मगीन हूँ नम आँख है सीने में चुभन है | Ghamgeen Hoon Nam Aankh Hai Seene Me Hai Chubhan
Ghamgeen Hoon Nam Aankh Hai Seene Me Hai Chubhan Lyrics
ग़मगीन हूँ नम आँख है, सीने में चुभन है
सरकार मेरे दिल में मदीने की लगन है
अनवार-ए-इलाही की जहाँ धूम मची है
वो शहर तो अल्लाह की जन्नत की धुलन है
तुम कैसे जलाओगी हमे आतिश-ए-दोज़ख़
तैबा न पहुँचने की मेरे दिल में जलन है
इस हिज्र की आतिश को बुझा दीजिए आक़ा
है जिस्म यहाँ और मदीने में ये मन है
गुस्ताख़ निगाहों में मदीने को बसाना
इस बात से लरज़ीदा मेरा सारा बदन है
इस गुम्बद-ए-ख़ज़रा को में सीने में बसा लूँ
हैरान जिसे देख कर ख़ुद चरख़े कहन है
मैं मर के उसी ख़ाक में मस्ती से रहूँगा
ज़म-ज़म से भिगोया हुआ जब मेरा कफ़न है
अजमेर ग़रीबों का मदीना है जहाँ पर
आक़ा का करम रब की ‘अता साया फ़िगन है
बग़दाद या अजमेर किछौछा हो या कलियर
महकाए है हर फूल मदीना वो चमन है
काफ़ी है त’आरुफ़ तेरा ऐ नूर इसी में
शजरा है मदीने का किछौछे में वतन है
Ghamgeen hoon nam aankh hai, seene mein chubhan hai
Sarkar mere dil mein Madine ki lagan hai
Anwaar-e-Ilahi ki jahan dhoom machi hai
Wo shehar to Allah ki Jannat ki dhulan hai
Tum kaise jalaaogi hame Aatish-e-Dozakh
Taiba na pahunchne ki mere dil mein jalan hai
Is Hijr ki aatish ko bujha dijiye Aaqa
Hai jism yahan aur Madine mein ye man hai
Gustakh nigahon mein Madine ko basaana
Is baat se larzeeda mera saara badan hai
Is Gumbad-e-Khazra ko main seene mein basa loon
Hairaan jise dekh kar khud Charkh-e-Kuhan hai
Main mar ke usi khaak mein masti se rahunga
Zam-zam se bhigoya hua jab mera kafan hai
Ajmer gharibon ka Madina hai jahan par
Aaqa ka karam Rab ki ‘Ata saaya-figan hai
Baghdad ya Ajmer, Kichhauchha ho ya Kaliyar
Mahkaaye hai har phool, Madina wo chaman hai
Kaafi hai ta’aruf tera Aye Noor isi mein
Shajra hai Madine ka, Kichhauchha mein watan hai
सैयद मुहम्मद नूरानी अशरफ़ अल-जिलानी