प्यारे नबी की आँख के तारे हुसैन हैं || Pyare Nabi Ki Aankh Ke Tare Hussain Hain
Pyare Nabi Ki Aankh Ke Tare Hussain Hain Lyrics
प्यारे नबी की आँख के तारे हुसैन हैं
मौला ‘अली के राज-दुलारे हुसैन हैं
दिल को क़रार मिलता हैं नाम-ए-हुसैन से
वल्लाह हम को जान से प्यारे हुसैन हैं
रौशन कि जिन से ‘इश्क़-ओ-वफ़ा की तमाम राह
चश्म-ए-तलब में ऐसे मिनारे हुसैन हैं
वो ‘अज़्म हौसला है कि जिस की नहीं मिसाल
सब्र-ओ-रिज़ा के बाब में न्यारे हुसैन हैं
ज़ालिम यज़ीद मिट गया, ज़िदा रहे हुसैन
ये सोचना ग़लत है कि हारे हुसैन हैं
कोई कमी हुसैन में मुमकिन हो किस तरह
जब दस्त-ए-मुस्तफ़ा के सवारे हुसैन हैं
वो कौन है जो जान है इस्लाम की, ‘उबैद !
प्यारे हुसैन हैं, मेरे प्यारे हुसैन हैं
Pyare Nabi ki aankh ke taare Hussain hain
Maula Ali ke raaj-dulare Hussain hain
Dil ko qaraar milta hain Naam-e-Hussain se
Wallah hum ko jaan se pyaare Hussain hain
Roshan ki jin se Ishq-o-Wafa ki tamaam raah
Chashm-e-Talab mein aise minare Hussain hain
Wo azm hausla hai ki jis ki nahin misaal
Sabr-o-Riza ke baab mein nyaare Hussain hain
Zaalim Yazid mit gaya, zinda rahe Hussain
Ye sochna ghalat hai ki haare Hussain hain
Koi kami Husain mein mumkin ho kis tarah
Jab Dast-e-Mustafa ke saware Hussain hain
Wo kaun hai jo jaan hai Islam ki, Ubaid !
Pyare Hussain hain, mere pyare Hussain hain
ओवैस रज़ा क़ादरी
मुहम्मद बिलाल रज़ा अत्तारी मदनी