ज़र्रे झड़ कर तेरी पैज़ारों के || Zarre Jhar Kar Teri Paizaro Ke
Zarre Jhar Kar Teri Paizaro Ke Lyrics
ज़र्रे झड़ कर तेरी पैज़ारों के
ताजे सर बनते हैं सय्यारों के
हम से चोरों पे जो फ़रमाएं करम
ख़िल’अतें ज़र बनें पुश्तारों के
मेरे आक़ा का वो दर है जिस पर
माथे घिस जाते हैं सरदारों के
मेरे ‘ईसा तेरे सदक़े जाऊँ
‘तौर बे ‘तौर हैं बीमारों के
मुजरिमों ! चश्मे तबस्सुम रक्खो
फूल बन जाते हैं अंगारों के
तेरे अब्रू के तसद्दुक़ प्यारे
बन्द कर्रे हैं गिरिफ़्तारों के
जानो दिल तेरे क़दम पर वारे
क्या नसीबे हैं तेरे यारों के
सिद्क़ों ‘अदलो करम व हिम्मत में
चार सू शोहरे हैं इन चारों के
बहरे तस्लीमे ‘अली मैदां में
सर झुके रहते हैं तलवारों के
कैसे आक़ाओं का बन्दा हूँ रज़ा
बोलबाले मेरी सरकारों के
Zarre jhad kar teri Paizaro ke
Taaj-e-sar bante hain sayyaron ke
Hum se choron pe jo farmaayen karam
Khil’aten zar bane pushtaaron ke
Mere Aaqa ka wo dar hai jis par
Maathe ghis jaate hain sardaro ke
Mere ‘Isa tere sadqe jaaun
Taur be-taur hain bimaro ke
Mujrimon ! Chashm-e-Tabassum rakkho
Phool ban jaate hain angaaron ke
Tere abroo ke tasadduq pyare
Band karre hain giraftaaron ke
Jaan-o-dil tere qadam par waare
Kya naseebe hain tere yaaron ke
Sidq-o-Adl-o-Karam wa Himmat mein
Chaar soo shohre hain in chaaron ke
Bahr-e-Tasleem-e-Ali maidaan mein
Sar jhuke rehte hain talwaaron ke
Kaise Aaqaon ka banda hoon Raza
Bolbale meri sarkaro ke
इमाम अहमद रज़ा ख़ान
साबिर रज़ा अज़हरी
असद रज़ा अत्तारी
ओवैस रज़ा क़ादरी