मेरे मुर्शिद है ‘अत्तार || Mere Murshid Hai Attar
Mere Murshid Hai Attar Lyrics
मेरे मुर्शिद है ‘अत्तार, मेरे मुर्शिद है ‘अत्तार
इंशा’अल्लाह इनके सदक़े होगा बेड़ा पार
पैकर है वो सुन्नत के, अमीर है अहले सुन्नत के
गुस्ताख़ाने नबी से वो तो हर दम है बेज़ार
इन के ‘अमल से ख़ौफ़-ए-ख़ुदा और ‘इश्क़-ए-नबी ज़ाहिर होता है
‘अली हजवेरी, ग़ौस और ख़्वाजा की है यादगार
‘अमल का जज़्बा, नेकी की दावत देखी उन में इस्तिक़ामत
गूँजती उन के मदनी मक़सद की हर सू है पुकार
पैकर है ये सुन्नत के, अमीर अहले सुन्नत के
तक़वा देखो इन का आ’ला और आ’ला किरदार
ज़िक्रे मदीना जारी लब पर, सोज़े मदीना बाँटते अक्सर
‘इश्क़-ए-तयबा में देखो तो लगते है सरशार
ऐसा फ़ैज़ हो उन का जारी, पाए फ़ैज़ ये उम्मत सारी
उन से राज़ी रहे मेरा अल्लाह और मेरे सरकार
मुर्शिद अपनी आल का सदक़ा, मुझ को निभालो हूँ मैं जैसा
तेरे सिवा मैं किस से कहूँ, तुम हो मेरे ग़म ख़्वार
अफ़ज़ल कोई ‘अमल नहीं है, इज़्ज़त इन के सदक़े मिली है
इस निस्बत पे फ़ख़्र मुझे है, हूँ मैं सगे ‘अत्तार
Mere Murshid hain ‘Attar, mere Murshid hain ‘Attar
Insha’Allah in ke sadqe hoga beda paar
Paikar hain wo Sunnat ke, Ameer hain Ahl-e-Sunnat ke
Gustakhaan-e-Nabi se wo to har dam hain bezaar
In ke ‘Amal se Khauf-e-Khuda aur ‘Ishq-e-Nabi zahir hota hai
‘Ali Hajweri, Ghaus aur Khwaja ki hai yaadgaar
‘Amal ka jazba, neki ki da’wat, dekhi un mein istiqamat
Goonjti un ke Madani Maqsad ki har soo hai pukaar
Paikar hain ye Sunnat ke, Ameer Ahl-e-Sunnat ke
Taqwa dekho in ka a’la aur a’la kirdaar
Zikr-e-Madina jaari lab par, Soz-e-Madina baantte aksar
‘Ishq-e-Taiba mein dekho to lagte hain sarshaar
Aisa faiz ho un ka jaari, paaye faiz ye Ummat saari
Un se raazi rahe mera Allah aur mere Sarkar
Murshid apni Aal ka sadqa, mujh ko nibhaalo hoon main jaisa
Tere siwa main kis se kahun, tum ho mere gham-khwaar
Afzal koi ‘Amal nahin hai, ‘Izzat in ke sadqe mili hai
Is nisbat pe fakhr mujhe hai, hoon main sag-e-‘Attar
मुहम्मद अफ़ज़ल अत्तारी