उस हाशमी मक्की मदनी मुत्तलबी के || Us Hashmi Makki Madani Muttalabi Ke
Us Hashmi Makki Madani Muttalabi Ke Lyrics
उस हाशमी मक्की मदनी मुत्तलबी के
चर्चे हैं दो ‘आलम में रसूले ‘अरबी के
ऐ ‘इल्म तेरा ताज सजाएं हैं बहुत लोग
आ चूम ले क़दमों को तू उम्मी लक़बी के
दीवाना ना बन होश में आ उन के हरम में
इम्कान हज़ारों हैं वहाँ बे-अदबी के
मन कुंतो के इस क़ौल ने ये राज़ बताया
जो यार ‘अली के हैं वही यार नबी के
सरकार को ख़ुद जैसा बशर मानने वालो
फैलाओं ना फ़ितनों को यहाँ बू-लहबी के
कौसर जो पिलाए मेरे सरकार बुला कर
ख़ुद देखना ‘एज़ाज़ मेरी तिश्ना लबी के
हर साल जो अजमेर को जाते हैं मुसलसल
वो लोग उठाए हैं ‘इल्म छः रजबी के
ऐ काश ! मैं बस ख़्वाब में देखूँ तेरा चेहरा
आसार हैं आँखों में मेरी गिर्या शबी के
तू हश्र के मैदान की परवाह ना कर नूर
बेटे हो मुक़द्दर से जो ‘आली नसबी के
Us Hashmi Makki Madani Muttalibi ke
Charche hain do ‘Aalam mein Rasool-e-‘Arabi ke
Aye ‘Ilm tera taaj sajayein hain bahut log
Aa choom le qadmon ko tu Ummi Laqabi ke
Deewana na ban hosh mein aa un ke Haram mein
Imkaan hazaaron hain wahan be-adabi ke
Man Kunto ke is qaul ne ye raaz bataya
Jo yaar ‘Ali ke hain wahi yaar Nabi ke
Sarkar ko khud jaisa bashar maanne walo
Phailao na fitnon ko yahan Bu-Lahabi ke
Kausar jo pilaaye mere Sarkar bula kar
Khud dekhna ‘Ejaaz meri tishna-labi ke
Har saal jo Ajmer ko jaate hain musalsal
Wo log uthaaye hain ‘Alam chhah Rajabi ke
Aye Kaash ! Main bas khwaab mein dekhun tera chehra
Aasaar hain aankhon mein meri girya-shabi ke
Tu Hashr ke maidan ki parwah na kar Noor
Bete ho muqaddar se jo ‘Aali Nasabi ke
सैयद मुहम्मद नूरानी अशरफ़ अल-जिलानी
सैयद मुहम्मद नूरानी अशरफ़ अल-जिलानी
सैयद अब्दुल क़ादिर अल-क़ादरी