कोई उन की तरह या उन का हमसर हो नहीं सकता || Koi Unki Tarah Ya Unka Hamsar Ho Nahi Sakta
Koi Unki Tarah Ya Unka Hamsar Ho Nahi Sakta Lyrics
कोई उन की तरह या उन का हमसर हो नहीं सकता
कोई बंदा भी ऐसा बंदा परवर हो नहीं सकता
कोई ख़ल्क़े ख़ुदा में उन से बढ़ कर हो नहीं सकता
मिसाले मुस्तफ़ा कोई पयम्बर हो नहीं सकता
सितारा लाख चमके मोहरे अनवर हो नहीं सकता
ख़ुदा की शान को देखा था जब किरदारे अहमद में
शहंशाहों के सर ख़ुद झुक गए दरबारे अहमद में
ख़ुदा की दीद हासिल हो गई दीदारे अहमद में
तजल्ली ज़ात की है जलवहे रुख़सारे अहमद में
हसीं ऐसा कोई अल्लाहु अकबर हो नहीं सकता
नबी के वास्ते अपनों से हुज्जत सब से पहले की
सभी ने बा’द में उस ने मोहब्बत सब से पहले की
बुतों के सामने किस ने बग़ावत सब से पहले की
बड़ों में किस ने तस्दीक़े रिसालत सब से पहले की
सदाक़त में कोई सिद्दीक़े अकबर हो नहीं सकता
हैं जिन के नाना आक़ा बाप हैदर फ़ातिमा मादर
रिकाबें जिन की ख़ातिर बन गई थी गेसु-ए-सरवर
सभी ने उन को देखा बारहाँ पुश्ते पयम्बर पर
चढ़ाया उन को काँधे पर रसुलल्लाह ने अक्सर
कोई हम रुतबा शब्बीर-ओ-शब्बर हो नहीं सकता
हज़ारों ने’मतें भर ले कोई अपने ख़ज़ाने में
मुझे हरगिज़ नहीं हैं ख़ौफ़ तुम को ये बताने में
कोई कितना बुलंद-ओ-आ’ला हो अपने घराने में
कोई हो मुत्तक़ी-ओ-‘आलिम-ओ-ज़ाहिद ज़माने में
मगर आले मुहम्मद के बराबर हो नहीं सकता
लिबासे फ़ाख़िरा में भी मतानत ऐसी बख़्शी हैं
ये फैलाते नहीं है हाथ ग़ैरत ऐसी बख़्शी हैं
सयादत ऐसी बख़्शी हैं ‘तहारत ऐसी बख़्शी हैं
ख़ुदा ने आले अहमद को शराफ़त ऐसी बख्शी हैं
अज़ीज़-ओ-अहले ईमाँ उन से बढ़कर हो नहीं सकता
अजब दौर-ए-ज़माँ आया मेरे आक़ा के दीवानों
नबी के घर के दुश्मन को ख़ुदारा अब तो पहचानो
जो उन को छोड़ कर माने उसे हरगिज़ न तुम मानो
फिरा जो आले अहमद से उसे दिल से यक़ीं जानो
कभी ये रूसियाँ मक़बूल-ए-दावर हो नहीं सकता
‘अजब अंदाज़ से रहते थे पहले शहरे ज़म-ज़म में
चले घर छोड़ कर पाकर इशारा एक ही दम में
हर एक दूजे से मिलते थे ख़ुशी में हो या हो ग़म में
नबी के यार और अन्सार सब अफ़ज़ल हैं ‘आलम में
मगर मिस्ले ‘अली कोई बिरादर हो नहीं सकता
ख़ुशा क़िस्मत तो सज्जादा नशीं हैं ग़ौस-उल-‘आलम का
तुझे देखा तो याद आ जाए चेहरा ग़ौस-ए-‘आज़म का
झपी जब नूर ने माला तेरी तब जाके वो चमका
हुआ तू अशरफ़ी मदा’ह सुलताने दो ‘आलम का
नसीबे का कोई ऐसा सिकंदर हो नहीं सकता
Koi un ki tarah ya un ka hamsar ho nahin sakta
Koi banda bhi aisa banda-parwar ho nahin sakta
Koi Khalq-e-Khuda mein un se badh kar ho nahin sakta
Misaal-e-Mustafa koi Payambar ho nahin sakta
Sitaara laakh chamke, Mohar-e-Anwar ho nahin sakta
Khuda ki shaan ko dekha tha jab kirdaar-e-Ahmed mein
Shahenshahon ke sar khud jhuk gaye Darbar-e-Ahmed mein
Khuda ki deed haasil ho gai Deedaar-e-Ahmed mein
Tajalli Zaat ki hai Jalwa-e-Rukhsar-e-Ahmed mein
Haseen aisa koi Allahu Akbar ho nahin sakta
Nabi ke waaste apnon se hujjat sab se pehle ki
Sabhi ne ba’ad mein, us ne mohabbat sab se pehle ki
Buton ke saamne kis ne baghawat sab se pehle ki
Badon mein kis ne Tasdeeq-e-Risaalat sab se pehle ki
Sadaqat mein koi Siddiq-e-Akbar ho nahin sakta
Hain jin ke Nana Aaqa, baap Haidar, Fatima maadar
Rikaaben jin ki khatir ban gai thi Gesu-e-Sarwar
Sabhi ne un ko dekha baaraha Pusht-e-Payambar par
Chadhaya un ko kandhe par Rasoolallah ne aksar
Koi ham-rutba Shabbir-o-Shabbar ho nahin sakta
Hazaaron ne’matein bhar le koi apne khazaane mein
Mujhe hargiz nahin hain khauf tum ko ye bataane mein
Koi kitna buland-o-a’la ho apne gharaane mein
Koi ho Muttaqi-o-‘Aalim-o-Zaahid zamaane mein
Magar Aal-e-Muhammad ke barabar ho nahin sakta
Libaas-e-Faakhira mein bhi mataanat aisi bakhshi hain
Ye phailaate nahin hain haath, ghairat aisi bakhshi hain
Sayaadat aisi bakhshi hain, Tahaarat aisi bakhshi hain
Khuda ne Aal-e-Ahmed ko sharafat aisi bakhshi hain
Azeez-o-Ahl-e-Imaan un se badhkar ho nahin sakta
‘Ajab daur-e-zamaan aaya mere Aaqa ke deewanon
Nabi ke ghar ke dushman ko Khudara ab to pehchaano
Jo un ko chhod kar maane use hargiz na tum maano
Phira jo Aal-e-Ahmed se use dil se yaqeen jaano
Kabhi ye roosiya maqbool-e-Daawar ho nahin sakta
‘Ajab andaaz se rehte the pehle Shehar-e-Zamzam mein
Chale ghar chhod kar paakar ishaara ek hi dam mein
Har ek dooje se milte the khushi mein ho ya ho gham mein
Nabi ke Yaar aur Ansaar sab afzal hain ‘Aalam mein
Magar misl-e-‘Ali koi biraadar ho nahin sakta
Khusha qismat to Sajjaada Nasheen hain Ghaus-ul-‘Aalam ka
Tujhe dekha to yaad aa jaaye chehra Ghaus-e-‘Aazam ka
Jhapi jab Noor ne maala teri tab jaake wo chamka
Hua tu Ashrafi maddaah Sultan-e-Do ‘Aalam ka
Naseebe ka koi aisa Sikandar ho nahin sakta
सैयद मुहम्मद नूरानी अशरफ़ अल-जिलानी
सैयद मुहम्मद नूरानी अशरफ़ अल-जिलानी
शरीफ़ रज़ा पाली