चला हूँ जानिब-ए-तयबा, सफ़र हैं कितना रूहानी || Chala Hoon Janib-e-Taiba, Safar Hai Kitna Roohani
Chala Hoon Janib-e-Taiba, Safar Hai Kitna Roohani Lyrics
चला हूँ जानिब-ए-तयबा, सफ़र हैं कितना रूहानी
दरे आक़ा पे जाकर मैं करूँगा उन की दरबानी
करम के वो अमीं, जूद-ओ-सख़ा के ताजवर वो है
उसी दरबार में बिकने से मिल जाती हैं सुल्तानी
वो महबूब-ओ-मुहीब के दरमियाँ गुफ़्तार-ए-महबूबी
वो इक राज़े मुहब्बत है वहीं है लोह-ए-क़ुर’आनी
ये शौक़े दीद हैं आक़ा के मैं मदफ़न में कब जाऊँ
जो देखूँ मैं रुख़-ए-अनवर, तो बन जाऊँ मैं नूरानी
भला चाहो तुम यूँ पढ़ते रहों सल्ले ‘अला हरदम
सरे महशर रहेगी जा-बजां ऐ नूर आसानी
Chala hoon jaanib-e-Taiba, safar hain kitna roohani
Dar-e-Aaqa pe ja kar main karunga un ki darbani
Karam ke wo Ameen, jood-o-sakha ke taajwar wo hain
Usi Darbaar mein bikne se mil jaati hain sultani
Wo Mehboob-o-Muheeb ke darmiyaan guftaar-e-Mehboobi
Wo ik raaz-e-muhabbat hai, wahin hai Loh-e-Qur’ani
Ye shauq-e-deed hain Aaqa ke main madfan mein kab jaaun
Jo dekhun main Rukh-e-Anwar, to ban jaaun main Noorani
Bhala chaho tum yun padhte raho Salle ‘Ala hardam
Sar-e-Mehshar rahegi ja-ba-ja Aye Noor aasani
सैयद मुहम्मद नूरानी अशरफ़ अल-जिलानी