सारे नबियों का सरवर मदीने में हैं || Sare Nabiyon Ka Sarwar Madine Mein Hai
Sare Nabiyon Ka Sarwar Madine Mein Hai Lyrics
सारे नबियों का सरवर मदीने में है
सब रसूलों का अफ़सर मदीने में है
लुत्फ़ जन्नत से बढ़ कर मदीने में है
मीठे महबूब का घर मदीने में हैं
क्या हवा भी मु’अत्तर मदीने में है
सब फ़ज़ा भी मुनव्वर मदीने में है
कर के हिजरत यहाँ आ गए मुस्तफ़ा
रोशनी आज घर घर मदीने में है
जानते हो मदीना है क्यूँ दिल-पसन्द
दोनों ‘आलम का सरवर मदीने में है
सारे दीवाने बेताब हैं इस लिए
शाह की क़ब्र-ए-अनवर मदीने में है
नूर की देखो बरसात है चार सू
क्या समां कैफ़ आवर मदीने में है
हिज्रो फ़ुरक़त के बीमार को ले चलो
राहते जाने मुज़्तर मदीने में है
दूर रह कर है वीरान सी ज़िन्दगी
मौत भी कैफ़ आवर मदीने में है
हैं मदीने का रुतबा बड़ा ख़ुल्द से
क्यूँ कि महबूबे दावर मदीने में है
मालदारों ! न इतराओ तुम माल पर
उन का मँगता तवंगर मदीने में है
अपनी मंज़िल को पा लोगे आ जाओ तुम
भूले भटकों का रहबर मदीने में है
भूल जाओगे पेरिस की सब रौनक़ें
वो समां रूह परवर मदीने में है
दुश्मनों ! मत अकेला समझना मुझे
मेरा हामी व यावर मदीने में है
आओ ‘इस्यां शि’आरो नहा लो यहाँ
रहमतों का समंदर मदीने में है
हश्र में जामे कौसर की है गर तलब
आओ साक़िये कौसर मदीने में है
आओ आओ गुनहगारो ! आ जाओ तुम
शाफ़े’ए रोज़े महशर मदीने में है
ऐ शफ़ा’अत के उम्मीद वारो ! चलो !
शाफ़े’ए रोज़े महशर मदीने में है
तुम शफ़ा’अत में शक मत करो ज़ाइरो !
शाफ़े’ए रोज़े महशर मदीने में है
“चल मदीना” वही हो सके जिस का दिल
घर में रह कर भी अक्सर मदीने में हैं
“चल मदीना” का दीवानों ! मुज़्दा सुनो
जल्द हर बा मुक़द्दर मदीने में है
सब्ज़ गुंबद का ‘अत्तार मंज़र तो देख
किस क़दर कैफ़ आवर मदीने में है
Saare Nabiyon ka Sarwar Madine mein hai
Sab Rasoolon ka Afsar Madine mein hai
Lutf Jannat se badh kar Madine mein hai
Meethe Mehboob ka ghar Madine mein hain
Kya hawa bhi Mu’attar Madine mein hai
Sab faza bhi Munawwar Madine mein hai
Kar ke Hijrat yahan aa gaye Mustafa
Roshni aaj ghar ghar Madine mein hai
Jaante ho Madina hai kyun dil-pasand
Dono ‘Aalam ka Sarwar Madine mein hai
Saare deewane betaab hain is liye
Shah ki Qabr-e-Anwar Madine mein hai
Noor ki dekho barsaat hai chaar soo
Kya samaa kaif-aawar Madine mein hai
Hijr-o-Furqat ke beemaar ko le chalo
Raahat-e-Jaan-e-Muztar Madine mein hai
Door rah kar hai veeraan si zindagi
Maut bhi kaif-aawar Madine mein hai
Hain Madine ka rutba bada Khuld se
Kyun ki Mehboob-e-Dawar Madine mein hai
Maaldaron ! Na itraao tum maal par
Un ka mangta tawangar Madine mein hai
Apni manzil ko paa loge aa jao tum
Bhoole bhatkon ka Rahbar Madine mein hai
Bhool jaoge Paris ki sab raunaqen
Wo samaa rooh-parwar Madine mein hai
Dushmano ! Mat akela samajhna mujhe
Mera Haami-o-Yaawar Madine mein hai
Aao ‘Isyaan Shi’aaro naha lo yahan
Rehmaton ka samandar Madine mein hai
Hashr mein Jaam-e-Kausar ki hai gar talab
Aao Saaqi-e-Kausar Madine mein hai
Aao aao gunahgaro ! Aa jao tum
Shafi’-e-Roz-e-Mehshar Madine mein hai
Aye Shafa’at ke ummeedwaro ! Chalo !
Shafi’-e-Roz-e-Mehshar Madine mein hai
Tum Shafa’at mein shak mat karo Zairo !
Shafi’-e-Roz-e-Mehshar Madine mein hai
“Chal Madina” wahi ho sake jis ka dil
Ghar mein rah kar bhi aksar Madine mein hain
“Chal Madina” ka deewano ! Muzda suno
Jald har ba-muqaddar Madine mein hai
Sabz Gumbad ka ‘Attar manzar to dekh
Kis qadar kaif-aawar Madine mein hai
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी
हाजी मुश्ताक़ अत्तारी
ग़ुलाम नबी अत्तारी