उन की चौखट हो तो कासा भी पड़ा सजता है || Un Ki Chaukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai | Un Ki Chokhat Ho To Kasa Bhi Para Sajta Hai
Un Ki Chaukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai Lyrics
उन की चौखट हो तो कासा भी पड़ा सजता हैं
दर बड़ा हो तो सवाली भी खड़ा सजता हैं
ऐसा आक़ा हो तो लाज़िम है ग़ुलामी पे ग़ुरूर
ऐसी निस्बत हो तो फिर बोल बड़ा सजता हैं
ताज-ए-शाही के मुक़द्दर में ये ज़ेबाई कहाँ
जिस क़दर उन की ग़ुलामी का कड़ा सजता हैं
ये ग़ुलामी कहीं कमतर नहीं होने देती
उन का नौकर हो तो शाहों में खड़ा सजता हैं
कान में हुर्र के मुक़द्दर ने ये सरगोशी की
तू नगीना हैं, अँगूठी में जड़ा सजता हैं
सरवर-ए-दीं के मुसल्ले पे ख़ुदा जानता हैं
मुर्तज़ा पीछे हो, सिद्दीक़ खड़ा सजता हैं
सरवर-ए-दीं के मुसल्ले पे ख़ुदा जानता हैं
आगे असहाब के सिद्दीक़ खड़ा सजता हैं
जब ‘अता करने पे बैठें हो ‘अली-ओ-सय्यिदा
फिर तो जन्नत के लिए कोई अड़ा सजता हैं
मौला शब्बर से ख़ुदा जाने सख़ी महदी तक
गुलशन-ए-ज़हरा का हर फूल बड़ा सजता हैं
मुझ को कहते हैं यही अहल-ए-मोहब्बत, सरवर !
ना’त का नग़्मा तेरे लब पे बड़ा सजता हैं
Un ki chaukhat ho to kasa bhi pada sajta hain
Dar bada ho to sawaali bhi khada sajta hain
Aisa Aaqa ho to laazim hai ghulami pe ghuroor
Aisi nisbat ho to phir bol bada sajta hain
Taaj-e-Shahi ke muqaddar mein ye zebaai kahaan
Jis qadar un ki ghulami ka kada sajta hain
Ye ghulami kahin kamtar nahin hone deti
Un ka naukar ho to shahon mein khada sajta hain
Kaan mein Hurr ke muqaddar ne ye sargoshi ki
Tu nageena hain, anguthi mein jada sajta hain
Sarwar-e-Deen ke musalle pe Khuda jaanta hain
Murtaza peeche ho, Siddiq khada sajta hain
Sarwar-e-Deen ke musalle pe Khuda jaanta hain
Aage Ashaab ke Siddiq khada sajta hain
Jab ata karne pe baithe ho Ali-o-Sayyida
Phir to Jannat ke liye koi ada sajta hain
Maula Shabbar se Khuda jaane Sakhi Mehdi tak
Gulshan-e-Zahra ka har phool bada sajta hain
Mujh ko kehte hain yahi Ahl-e-Mohabbat, Sarwar !
Naat ka naghma tere lab pe bada sajta hain
सैयद हसन उल्लाह हुसैनी
असद रज़ा अत्तारी
क़ारी शाहिद महमूद क़ादरी