मेरा गदा मेरा मँगता मेरा ग़ुलाम आए || Mera Gada Mera Mangta Mera Ghulam Aaye
Mera Gada Mera Mangta Mera Ghulam Aaye Lyrics
मेरा गदा, मेरा मँगता, मेरा ग़ुलाम आए
ख़ुदा करे, कभी तयबा से ये पयाम आए
दुरूद-ए-सय्यिद-ए-कौनैन के वसीले से
मेरी ज़ुबान पे, आक़ा ! तेरा ही नाम आए
मैं इस यक़ीन से आया हूँ उन के रौज़े से
वो फिर कहेंगे कि वापस मेरा ग़ुलाम आए
मैं देखता ही रहूँ बस तुम्हारे रौज़े को
जनाब-ए-ज़हरा के सदक़े में ऐसी शाम आए
ग़ुलाम-ए-ज़हरा हूँ, मैं तो ‘अली का नौकर हूँ
हमेशा पंज-तनी निस्बत ही मेरे काम आए
हसन हुसैन का देता हूँ वास्ता उन को
फ़क़ीर-ए-आल-ए-मुहम्मद में मेरा नाम आए
हसन हुसैन का देता है वास्ता मिस्कीं
फ़क़ीर-ए-आल-ए-मुहम्मद में मेरा नाम आए
Mera gada, mera mangta, mera ghulam aaye
Khuda kare, kabhi Tayba se ye payaam aaye
Durood-e-Sayyid-e-Kaunain ke waseele se
Meri zabaan pe, Aaqa ! Tera hi naam aaye
Main is yaqeen se aaya hoon un ke Rauze se
Wo phir kahenge ki wapas mera ghulam aaye
Main dekhta hi rahun bas tumhare Rauze ko
Janaab-e-Zahra ke sadqe mein aisi shaam aaye
Ghulam-e-Zahra hoon, main to ‘Ali ka naukar hoon
Hamesha Panjtani nisbat hi mere kaam aaye
Hasan Hussain ka deta hoon waasta un ko
Faqeer-e-Aal-e-Muhammad mein mera naam aaye
Hasan Hussain ka deta hai waasta Miskeen
Faqeer-e-Aal-e-Muhammad mein mera naam aaye
ज़ोहेब अशरफ़ी
सैयद हसन उल्लाह हुसैनी
असद रज़ा अत्तारी