मुस्तफ़ा-ए-ज़ात-ए-यकता आप हैं || Mustafa-e-Zaat-e-Yakta Aap Hain
Mustafa-e-Zaat-e-Yakta Aap Hain Lyrics
मुस्तफ़ा-ए-ज़ात-ए-यकता आप हैं
यक ने जिस को यक बनाया, आप हैं
आप जैसा कोई हो सकता नहीं
अपनी हर ख़ूबी में तन्हा आप हैं
आब-ओ-गिल में नूर की पहली किरन
जान-ए-आदम, जान-ए-हव्वा आप हैं
हुस्न-ए-अव्वल की नुमूद-ए-अव्वलीं
बज़्म-ए-आख़िर का उजाला आप हैं
ला-मकाँ तक जिस की फैली रोशनी
वो चराग़-ए-’आलम-आरा आप हैं
नाज़िश-ए-’अर्श-ओ-वक़ार-ए-’अशियाँ
साहिब-ए-क़ौसेन-ओ-अदना आप हैं
आप की तल’अत ख़ुदा का आईना
जिस में चमके हक़ का जलवा, आप हैं
आप को रब ने किया अपना हबीब
सारी ख़ल्क़त का ख़ुलासा आप हैं
आप की ख़ातिर बनाए दो जहाँ
अपनी ख़ातिर जो बनाया, आप हैं
आप से ख़ुद आप का साइल हूँ मैं
जान-ए-जाँ ! मेरी तमन्ना आप हैं
आप की तल’अत को देखा, जान दी
क़ब्र में पहुँचा तो देखा आप हैं
बर दरत आमद गदा बहर-ए-सुवाल
हो भला अख़्तर का, दाता आप हैं
Mustafa-e-Zaat-e-Yakta aap hain
Yak ne jis ko Yak banaya, aap hain
Aap jaisa koi ho sakta nahin
Apni har khoobi mein tanha aap hain
Aab-o-Gil mein Noor ki pehli kiran
Jaan-e-Adam, Jaan-e-Hawwa aap hain
Husn-e-Awwal ki Namood-e-Awwaleen
Bazm-e-Aakhir ka ujala aap hain
La-Makaan tak jis ki phaili roshni
Wo Charagh-e-Aalam-Aara aap hain
Naazish-e-Arsh-o-Waqaar-e-Aashiyaan
Sahib-e-Qausain-o-Adna aap hain
Aap ki tal’at Khuda ka aaina
Jis mein chamke Haq ka jalwa, aap hain
Aap ko Rab ne kiya apna Habeeb
Saari khalqat ka khulasa aap hain
Aap ki khaatir banaye do jahaan
Apni khaatir jo banaya, aap hain
Aap se khud aap ka saail hoon main
Jaan-e-Jaan ! Meri tamanna aap hain
Aap ki tal’at ko dekha, jaan di
Qabr mein pahuncha to dekha aap hain
Bar darat aamad gada bahr-e-sawaal
Ho bhala Akhtar ka, daata aap hain
अख़्तर रज़ा ख़ान
ओवैस रज़ा क़ादरी
सैयद अब्दुल वसी क़ादरी रज़वी
क़ारी उस्मान हारूनी क़ादरी