मुझ को दर-पेश है फिर मुबारक सफ़र, क़ाफ़िला फिर मदीने का तय्यार है || Mujh Ko Dar-Pesh Hai Phir Mubarak Safar, Qafila Phir Madine Ka Tayyar Hai
Mujh Ko Dar-Pesh Hai Phir Mubarak Safar, Qafila Phir Madine Ka Tayyar Hai Lyrics
मुझ को दर-पेश है फिर मुबारक सफर
क़ाफ़िला फिर मदीने का तैयार हैं
नेकियों का नहीं कोई तोशा, फ़क़त
हाए ! सर पर गुनाहों का अम्बार हैं
कोई सज्दों की सौग़ात है न कोई
ज़ोह्द-ओ-तक़्वा मेरे पास, सरकार ! हैं
चल पड़ा हूँ मदीने की जानिब मगर
हाए ! सर पर गुनाहों का अम्बार हैं
जुर्म-ओ-इस्याँ पे अपने लजाता हुआ
और अश्क़-ए-नदामत बहाता हुआ
तेरी रहमत पे नज़रें जमाता हुआ
दर पे हाज़िर ये तेरा गुनहगार हैं
तेरा सानी कहाँ ! शाह-ए-कौन-ओ-मकाँ
मुझ सा आसी भी उम्मत में होगा कहाँ !
तेरे अफ़्च-ओ-करम का शह-ए-दो जहाँ !
क्या कोई मुझ से बढ़ कर भी हक़दार हैं ?
मुजरिमों को, शहा ! बख़्शवाता है तू
अपनी उम्मत की बिगड़ी बनाता है तू
ग़म के मारों को सीने लगाता है तू
ग़म-ज़दों, बे-कसों का तू ग़म-ख़्वार हैं
ठोकरें दर-ब-दर कब तलक खाऊँ मैं
फिर मदीने मुक़द्दर से जब आऊँ मैं
काश ! क़दमों में, सरकार ! मर जाऊँ मैं
या नबी ! ये तमन्ना-ए-अत्तार हैं
Mujh ko dar-pesh hai phir mubarak safar
Qaafila phir Madine ka tayyar hain
Nekiyon ka nahin koi tosha, faqat
Haaye ! Sar par gunahon ka ambaar hain
Koi sajdon ki saugaat hai na koi
Zohd-o-Taqwa mere paas, Sarkar ! Hain
Chal pada hoon Madine ki jaanib magar
Haaye ! Sar par gunahon ka ambaar hain
Jurm-o-Isyaan pe apne lajaata hua
Aur Ashq-e-Nadaamat bahaata hua
Teri rehmat pe nazren jamaata hua
Dar pe haazir ye tera gunahgaar hain
Tera saani kahaan ! Shah-e-Kaun-o-Makaan
Mujh sa aasi bhi ummat mein hoga kahaan !
Tere afw-o-karam ka Shah-e-Do Jahaan !
Kya koi mujh se badh kar bhi haqdaar hain ?
Mujrimon ko, Shaha ! Bakhshwaata hai tu
Apni ummat ki bigdi banaata hai tu
Gham ke maaron ko seene lagaata hai tu
Gham-zadon, be-kason ka tu gham-khwaar hain
Thokaren dar-badar kab talak khaun main
Phir Madine muqaddar se jab aaun main
Kaash ! Qadmon mein, Sarkar ! Mar jaaun main
Ya Nabi ! Ye tamanna-e-Attar hain
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
ओवैस रज़ा क़ादरी