नबी का नाम जब मेरे लबों पर रक़्स करता है || Nabi Ka Naam Jab Mere Labon Pe Raqs Karta Hai
Nabi Ka Naam Jab Mere Labon Pe Raqs Karta Hai Lyrics
नबी का नाम जब मेरे लबों पर रक़्स करता है
लहू भी मेरी शिरयानों के अंदर रक़्स करता है
मेरी बेचैन आँखों में वो जब तशरीफ़ लाते हैं
तसव्वुर उन के दामन से लिपट कर रक़्स करता है
वो सहराओं में भी पानी पिला देते हैं प्यासों को
कि उन की उँगलियों में भी समंदर रक़्स करता है
पड़े हैं नक़्श-ए-पा-ए-मुस्तफ़ा के हार गर्दन में
जभी तो रूह लहराती है, पैकर रक़्स करता है
ख़याल आता है जब भी गर्मी-ए-रोज़-ए-क़ियामत का
ग़म-ए-‘इस्याँ सर-ए-दरिया-ए-कौसर रक़्स करता है
ज़मीन-ओ-आसमाँ भी अपने क़ाबू में नहीं रहते
तड़प कर जब मुहम्मद का क़लंदर रक़्स करता है
लगी है भीड़ उस के गिर्द ये कैसी फ़रिश्तों की
ये किस का नाम ले ले कर मुज़फ़्फ़र रक़्स करता है
Nabi ka naam jab mere labon par raqs karta hai
Lahoo bhi meri shiryaanon ke andar raqs karta hai
Meri bechain aankhon mein wo jab tashreef laate hain
Tasawwur un ke daaman se lipat kar raqs karta hai
Wo sahraon mein bhi paani pila dete hain pyason ko
Ki un ki ungliyon mein bhi samandar raqs karta hai
Pade hain Naqsh-e-Pa-e-Mustafa ke haar gardan mein
Jabhi to rooh lehraati hai, paikar raqs karta hai
Khayaal aata hai jab bhi garmi-e-Roz-e-Qiyamat ka
Gham-e-Isyaan sar-e-Dariya-e-Kausar raqs karta hai
Zameen-o-Aasmaan bhi apne qaabu mein nahin rehte
Tadap kar jab Muhammad ka Qalandar raqs karta hai
Lagi hai bheed us ke gird ye kaisi Farishton ki
Ye kis ka naam le le kar Muzaffar raqs karta hai
मुज़फ़्फ़र वारसी
सैयद अब्दुल रऊफ बुख़ारी
तैयब ताहिर क़ादरी