वो सू-ए-लालाज़ार फिरते हैं || Wo Sue Lalazar Phirte Hain
Wo Sue Lalazar Phirte Hain Lyrics
वो सू-ए-लालाज़ार फिरते हैं
तेरे दिन, ऐ बहार ! फिरते हैं
जो तेरे दर से यार फिरते हैं
दर-ब-दर यूँ ही ख़्वार फिरते हैं
आह कल ‘ऐश तो किये हम ने
आज वो बे-क़रार फिरते हैं
उन के ईमा से दोनों बागों पर
ख़ैल-ए-लैल-ओ-नहार फिरते हैं
हर चराग़-ए-मज़ार पर क़ुदसी
कैसे परवाना-वार फिरते हैं
उस गली का गदा हूँ मैं जिस में
माँगते ताजदार फिरते हैं
जान हैं जान क्या नज़र आए
क्यूँ ‘अदू गिर्द-ए-ग़ार फिरते हैं
फूल क्या देखूँ मेरी आँखों में
दश्त-ए-तयबा के ख़ार फिरते हैं
लाखों क़ुदसी हैं काम-ए-ख़िदमत पर
लाखों गिर्द-ए-मज़ार फिरते हैं
वर्दियाँ बोलते हैं हरकारे
पहरा देते सवार फिरते हैं
रखिए जैसे हैं ख़ाना-ज़ाद हैं हम
मोल के ‘ऐबतार फिरते हैं
हाए ग़ाफ़िल ! वो क्या जगह हैं जहाँ
पाँच जाते हैं चार फिरते हैं
बाएँ रस्ते न जा, मुसाफ़िर ! सुन
माल हैं, राह-मार फिरते हैं
जाग सुनसान बन हैं रात आई
गुर्ग बहर-ए-शिकार फिरते हैं
नफ़्स ये कोई चाल हैं ज़ालिम
जैसे ख़ास-ए-बिजार फिरते हैं
कोई क्यूँ पूछे तेरी बात, रज़ा !
तुझ से कुत्ते हज़ार फिरते हैं
Wo soo-e-lalazaar phirte hain
Tere din Aye Bahaar ! Phirte hain
Jo tere dar se yaar phirte hain
Dar-ba-dar yun hi khwaar phirte hain
Aah kal ‘Aish to kiye hum ne
Aaj wo be-qaraar phirte hain
Un ke eema se donon baaghon par
Khail-e-Lail-o-Nahaar phirte hain
Har Charagh-e-Mazaar par Qudsi
Kaise parwaana-waar phirte hain
Us gali ka gada hoon main jis mein
Maangte Taajdaar phirte hain
Jaan hain jaan kya nazar aaye
Kyun ‘Adu gird-e-Ghaar phirte hain
Phool kya dekhun meri aankhon mein
Dasht-e-Taiba ke khaar phirte hain
Laakhon Qudsi hain kaam-e-khidmat par
Laakhon gird-e-Mazaar phirte hain
Wardiyan bolte hain harkaare
Pahra dete sawaar phirte hain
Rakhiye jaise hain khana-zaad hain hum
Mol ke ‘Aibdaar phirte hain
Haaye ghaafil! Wo kya jagah hain jahan
Paanch jaate hain chaar phirte hain
Baaen raste na ja, musaafir ! Sun
Maal hain, raah-maar phirte hain
Jaag sunsaan ban hain raat aai
Gurg bahr-e-shikaar phirte hain
Nafs ye koi chaal hain zaalim
Jaise khaas-e-bizaar phirte hain
Koi kyun poochhe teri baat, Raza !
Tujh se kutte hazaar phirte hain
इमाम अहमद रज़ा ख़ान
ओवैस रज़ा क़ादरी
नूरुल हुदा
मुहम्मद मोईनुद्दीन मुस्तजब