सरे महफ़िल करम इतना मेरे सरकार ﷺ हो जाए || Sare Mehfil Karam Itna Mere Sarkar ﷺ Ho Jaye
Sare Mehfil Karam Itna Mere Sarkar ﷺ Ho Jaye Lyrics
सरे महफ़िल करम इतना मेरे सरकार ﷺ हो जाए
निगाहें मुंतज़िर रह जाए और दीदार हो जाए
अगर आलम में बे-पर्दा जमाल-ए-यार हो जाए
तो दुनिया जान देने के लिए तैयार हो जाए
तजस्सुस में तेरी हर शय पे यूँ नज़रे जमाता हूँ
न जाने कौनसी शय में तेरा दीदार हो जाए
संभल कर पाँव रखना हाजियों शहर-ए-मदीना में
कहीं ऐसा ना हो सफ़र बे-कार हो जाए
फ़ना इतना तो हो जाऊँ मैं तेरी ज़ात-ए-’आली में
कि मुझे जो देखले उसको तेरा दीदार हो जाए
Sare Mehfil karam itna mere Sarkar ﷺ ho jaaye
Nigaahen muntazir rah jaaye aur deedaar ho jaaye
Agar aalam mein be-parda Jamaal-e-Yaar ho jaaye
To duniya jaan dene ke liye taiyaar ho jaaye
Tajassus mein teri har shay pe yun nazre jamaata hoon
Na jaane kaunsi shay mein tera deedaar ho jaaye
Sambhal kar paanv rakhna Haajiyon Shehar-e-Madina mein
Kahin aisa na ho safar be-kaar ho jaaye
Fana itna to ho jaaun main teri Zaat-e-‘Aali mein
Ki mujhe jo dekhle usko tera deedaar ho jaaye
ओवैस रज़ा क़ादरी
क़ारी मोहसिन क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी
हाजी मुहम्मद मुश्ताक़ अत्तारी