सारे आलम में मोहब्बत की घटा छाई है || Sare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhai Hai
Sare Aalam Mein Mohabbat Ki Ghata Chhai Hai Lyrics
सारे ‘आलम में मोहब्बत की घटा छाई हैं
आप आए तो ज़माने में बहार आई हैं
रूह जब वादी-ए-पुरदर्द में घबराई हैं
उम्मती-उम्मती आक़ा की सदा आई हैं
बन के ख़ुश्बू जो मेरे दिल में उतर आई हैं
वो तेरी याद हैं, अब रूह समझ पाई हैं
आँख के तिल में हैं महफ़ूज़ जमाल-ए-ख़ज़रा
जैसे जन्नत मेरी नज़रों में सिमट आई हैं
ज़ात-ए-सरकार हैं नूरानी सहीफ़ों की दलील
या’नी क़ुर’आन से पहले ये किताब आई हैं
हर जगह मेरे लिए सब ने बिछाई आँखें
हर जगह तेरी ही निस्बत मेरे काम आई है
कोई मुश्किल हो, कोई ग़म हो, करो ज़िक्र-ए-हबीब
ये दवा वो है जो हर दौर में काम आई है
मरने वाले की खुली आँख खुली रहने दो
वो नज़र जलवा-ए-आक़ा की तमन्नाई है
जब तबीयत ग़म-ए-तन्हाई से घबराई है
हम तेरे साथ हैं, ये उन की सदा आई है
सारी दुनिया की निगाहों से गिरा है बेदम
तब कहीं जा के तेरे दिल में जगह पाई है
Saare ‘Aalam mein mohabbat ki ghata chhaai hain
Aap aaye to zamaane mein bahaar aai hain
Rooh jab Waadi-e-Purdard mein ghabraai hain
Ummati Ummati Aaqa ki sada aai hain
Ban ke khushboo jo mere dil mein utar aai hain
Wo teri yaad hain, ab rooh samajh paai hain
Aankh ke til mein hain mehfooz Jamaal-e-Khazra
Jaise Jannat meri nazron mein simat aai hain
Zaat-e-Sarkar hain Noorani saheefon ki daleel
Ya’ni Qur’an se pehle ye kitaab aai hain
Har jagah mere liye sab ne bichhaai aankhen
Har jagah teri hi nisbat mere kaam aai hai
Koi mushkil ho, koi gham ho, karo Zikr-e-Habib
Ye dawa wo hai jo har daur mein kaam aai hai
Marne wale ki khuli aankh khuli rehne do
Wo nazar Jalwa-e-Aaqa ki tamannai hai
Jab tabiyyat Gham-e-Tanhai se ghabraai hai
Hum tere saath hain, ye un ki sada aai hai
Saari duniya ki nigahon se gira hai Bedam
Tab kahin ja ke tere dil mein jagah paai hai
बेदम शाह वारसी
असद इक़बाल
सैयद अब्दुल वसी क़ादरी
शरीफ़ रज़ा पाली