सच्ची बात सिखाते ये हैं || Sachi Baat Sikhate Ye Hai
Sachi Baat Sikhate Ye Hai Lyrics
सच्ची बात सिखाते ये हैं
सीधी राह दिखाते ये हैं
डूबी नावें तिराते ये हैं
हिलती नावें जमाते ये हैं
टूटी आसें बँधाते ये हैं
छूटी नब्ज़ें चलाते ये हैं
जलती जानें बुझाते ये हैं
रोती आँखें हँसाते ये हैं
क़स्त्र-ए-दना तक किस की रसाई
जाते ये हैं, आते ये हैं
उस के नाइब, इन के साहिब
हक़ से ख़ल्क़ मिलाते ये हैं
शाफ़े’ नाफ़े’ राफ़े’ दाफ़े’
क्या क्या रहमत लाते ये हैं
शाफ़े’-ए-उम्मत नाफ़े’-ए-ख़ल्क़त
राफ़े’ रुत्बे बढ़ाते ये हैं
दाफ़े’ या’नी हाफ़िज़-ओ-हामी
दफ़’-ए-बला फ़रमाते ये हैं
फ़ैज़-ए-जलील ख़लील से पूछो
आग में बाग़ खिलाते ये हैं
उन के नाम के सदक़े जिस से
जीते हम हैं, जिलाते ये हैं
उस की बख़्शीश इन का सदक़ा
देता वो हैं, दिलाते ये हैं
इन का हुक्म जहाँ में नाफ़िज
क़ब्ज़ा कुल पे रखाते ये हैं
क़ादिर-ए-कुल के नाइब-ए-अकबर
कुन का रंग दिखाते ये हैं
इन के हाथ में हर कुंजी हैं
मालिक-ए-कुल कहलाते ये हैं
इन्ना आ’तैनाकल-कौसर
सारी कसरत पाते ये हैं
रब है मो’ती ये है क़ासिम
रिज़्क़ उस का खिलाते ये हैं
मातम-घर में एक नज़र में
शादी शादी रचाते ये हैं
अपनी बनी हम आप बिगाड़े
कौन बनाए बनाते ये हैं
लाखों बलाएँ करोड़ों दुश्मन
कौन बचाए बचाते ये हैं
बंदे करते हैं काम ग़ज़ब के
मुज़्दा रिज़ा का सुनाते ये हैं
नज़’-ए-रूह में आसानी दें
कलिमा याद दिलाते ये हैं
मरक़द में बंदों को थपक कर
मीठी नींद सुलाते ये हैं
बाप जहाँ बेटे से भागे
लुत्फ़ वहाँ फ़रमाते ये हैं
माँ जब इकलौते को छोड़े
आ आ कह के बुलाते ये हैं
संखों बेकस रोने वाले
कौन चुपाए चुपाते ये हैं
ख़ुद सजदे में गिर कर अपनी
गिरती उम्मत उठाते ये हैं
नंगों बे-नंगों का पर्दा
दामन ढक के छुपाते ये हैं
अपने भरम से हम हलकों का
पल्ला भारी बनाते ये हैं
ठंडा ठंडा मीठा मीठा
पीते हम हैं पिलाते ये हैं
सल्लिम सल्लिम की ठारस से
पुल पर हम को चलाते ये हैं
जिस को कोई न खुलवा सकता
वो ज़ंजीर हिलाते ये हैं
जिन के छप्पर तक नहीं उन के
मोती-महल सजवाते ये हैं
टोपी जिन के न जूती, उन को
ताज-ओ-बुराक़ दिलाते ये हैं
कह दो रज़ा से ख़ुश हो ख़ुश रह
मुज़्दा रिज़ा का सुनाते ये हैं
Sachi baat sikhate ye hain
Seedhi raah dikhate ye hain
Doobi naaven tiraate ye hain
Hilti naaven jamaate ye hain
Tooti aasen bandhaate ye hain
Chhooti nabzen chalaate ye hain
Jalti jaane bujhaate ye hain
Roti aankhen hansaate ye hain
Qasr-e-Dana tak kis ki rasaai
Jaate ye hain, aate ye hain
Us ke naaib, in ke saahib
Haq se Khalq milaate ye hain
Shafe, Naafe, Raafe, Daafe
Kya kya rehmat laate ye hain
Shafe-e-Ummat Naafe-e-Khalqat
Raafe rutbe badhaate ye hain
Daafe yaani Hafiz-o-Haami
Daf-e-Bala farmaate ye hain
Faiz-e-Jaleel Khaleel se poocho
Aag mein baagh khilaate ye hain
Un ke naam ke sadqe jis se
Jeete hum hain, jilaate ye hain
Us ki bakhshish in ka sadqa
Deta wo hain, dilaate ye hain
In ka hukm jahaan mein naafiz
Qabza kul pe rakhaate ye hain
Qadir-e-Kul ke Naaib-e-Akbar
Kun ka rang dikhaate ye hain
In ke haath mein har kunji hain
Maalik-e-Kul kehlaate ye hain
Inna Atainakal Kausar
Saari kasrat paate ye hain
Rab hai Moti ye hai Qasim
Rizq us ka khilaate ye hain
Maatam-ghar mein ek nazar mein
Shaadi shaadi rachaate ye hain
Apni bani hum aap bigaade
Kaun banaaye banaate ye hain
Laakhon balaayen karodo dushman
Kaun bachaaye bachaate ye hain
Bande karte hain kaam ghazab ke
Muzda riza ka sunaate ye hain
Naz-e-Rooh mein aasaani den
Kalima yaad dilaate ye hain
Marqad mein bandon ko thapak kar
Meethi neend sulaate ye hain
Baap jahaan bete se bhaage
Lutf wahaan farmaate ye hain
Maa jab iklaute ko chhode
Aa aa keh ke bulaate ye hain
Sankhon bekas rone wale
Kaun chhupaaye chhupaate ye hain
Khud sajde mein gir kar apni
Girti Ummat uthaate ye hain
Nangon be-nangon ka parda
Daaman dhak ke chhupaate ye hain
Apne bharam se hum halkon ka
Palla bhaari banaate ye hain
Thanda thanda meetha meetha
Peete hum hain pilaate ye hain
Sallim Sallim ki thaaras se
Pul par hum ko chalaate ye hain
Jis ko koi na khulwa sakta
Wo zanjeer hilaate ye hain
Jin ke chhappar tak nahin un ke
Moti-mahal sajwaate ye hain
Topi jin ke na jooti, un ko
Taaj-o-Buraq dilaate ye hain
Keh do Raza se khush ho khush rah
Muzda riza ka sunaate ye hain
इमाम अहमद रज़ा ख़ान
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
साबिर रज़ा अज़हरी
रफ़ीक़ रज़ा क़ादरी
अब्दुल हबीब अत्तारी