रूतबा बड़ा जनाब हैं शहर-ए-रसूल का || Rutba Bada Janab Hain Shehar-e-Rasool Ka
Rutba Bada Janab Hain Shehar-e-Rasool Ka Lyrics
रूतबा बड़ा जनाब हैं शहर-ए-रसूल का
हर ज़र्रा माहताब हैं शहर-ए-रसूल का
ख़ुल्द-ए-बरीं भी रश्क करे जिस पे हर घडी
मंज़र वो ला-जवाब हैं शहर-ए-रसूल का
तस्वीर-ए-शहर-ए-यार मोहब्बत में चूमना
और देखना सवाब हैं शहर-ए-रसूल का
हर शहर का जवाब मिलेगा तुम्हें मगर
कोई नहीं जवाब हैं शहर-ए-रसूल का
महबूब तेरे वास्ते महबूब सी जगह
क्या ख़ूब इंतिख़ाब हैं शहर-ए-रसूल का
ताबा ख़ुदा-ए-पाक तसद्दुक़ ! कहे जिसे
उम्दा बड़ा ख़िताब हैं शहर-ए-रसूल का
Rutba bada janaab hai Shehar-e-Rasool ka
Har zarra mahtaab hai Shehar-e-Rasool ka
Khuld-e-Bareen bhi rashk kare jis pe har ghadi
Manzar wo la-jawaab hai Shehar-e-Rasool ka
Tasveer-e-Shehar-e-Yaar mohabbat mein choomna
Aur dekhna sawaab hai Shehar-e-Rasool ka
Har shehar ka jawaab milega tumhein magar
Koi nahin jawaab hai Shehar-e-Rasool ka
Mehboob tere waaste Mehboob si jagah
Kya khoob intikhaab hai Shehar-e-Rasool ka
Taaba Khuda-e-Paak Tasadduq ! Kahe jise
Umda bada khitaab hai Shehar-e-Rasool ka
तसद्दुक़ ख़ान रज़वी