रब को देखा है मेरे नबी ने और किसी ने भी देखा नहीं है || Rab Ko Dekha Hai Mere Nabi Ne Aur Kisi Ne Bhi Dekha Nahin Hai
Rab Ko Dekha Hai Mere Nabi Ne Aur Kisi Ne Bhi Dekha Nahin Hai Lyrics
सब से प्यारा मेरा नबी है, सब से आ’ला मेरा नबी है
रब को देखा है मेरे नबी ने, और किसी ने भी देखा नहीं है
सब से पर्दा है मेरे ख़ुदा का, और मुहम्मद से पर्दा नहीं है
लाए ईमाँ ‘उमर जब नबी पर, बोले आक़ा के कदमों में जा कर
मिल गया है मुझे क़मली वाला, अब ज़माने की परवाह नहीं है
रब को देखा है मेरे नबी ने, और किसी ने भी देखा नहीं है
सब से पर्दा है मेरे ख़ुदा का, और मुहम्मद से पर्दा नहीं है
देखती गर ज़ुलेख़ा नबी को, हुस्न-ए-यूसुफ पे हरगिज़ न मरती
मेरे प्यारे नबी जैसा जलवा, हुस्न-ए-यूसुफ ने पाया नहीं है
रब को देखा है मेरे नबी ने, और किसी ने भी देखा नहीं है
सब से पर्दा है मेरे ख़ुदा का, और मुहम्मद से पर्दा नहीं है
आप के जैसा अब तक जहाँ में, मुस्तफ़ा ! कोई आया नहीं है
आए भी कैसे जब कि ख़ुदा ने कोई दूजा बनाया नहीं हैं
रब को देखा है मेरे नबी ने, और किसी ने भी देखा नहीं है
सब से पर्दा है मेरे ख़ुदा का, और मुहम्मद से पर्दा नहीं है
अब कहीं दिल नहीं लग रहा है, तयबा जाने को दिल रो रहा है
मौत आए मदीने में, अमजद ! और कोई तमन्ना नहीं है
रब को देखा है मेरे नबी ने, और किसी ने भी देखा नहीं है
सब से पर्दा है मेरे ख़ुदा का, और मुहम्मद से पर्दा नहीं है
Sab se pyara mera Nabi hai,
sab se Aa’la mera Nabi hai
Rab ko dekha hai mere Nabi ne,
aur kisi ne bhi dekha nahin hai
Sab se parda hai mere Khuda ka,
aur Muhammad se parda nahin hai
Laae Imaan ‘Umar jab Nabi par,
bole Aaqa ke qadmon mein ja kar
Mil gaya hai mujhe Kamli wala,
ab zamane ki parwaah nahin hai
Rab ko dekha hai mere Nabi ne,
aur kisi ne bhi dekha nahin hai
Sab se parda hai mere Khuda ka,
aur Muhammad se parda nahin hai
Dekhti gar Zulekha Nabi ko,
Husn-e-Yusuf pe hargiz na marti
Mere pyare Nabi jaisa jalwa,
Husn-e-Yusuf ne paaya nahin hai
Rab ko dekha hai mere Nabi ne,
aur kisi ne bhi dekha nahin hai
Sab se parda hai mere Khuda ka,
aur Muhammad se parda nahin hai
Aap ke jaisa ab tak jahaan mein,
Mustafa ! Koi aaya nahin hai
Aae bhi kaise jab ki Khuda ne
koi dooja banaaya nahin hain
Rab ko dekha hai mere Nabi ne,
aur kisi ne bhi dekha nahin hai
Sab se parda hai mere Khuda ka,
aur Muhammad se parda nahin hai
Ab kahin dil nahin lag raha hai,
Taiba jaane ko dil ro raha hai
Maut aaye Madine mein, Amjad !
Aur koi tamanna nahin hai
Rab ko dekha hai mere Nabi ne,
aur kisi ne bhi dekha nahin hai
Sab se parda hai mere Khuda ka,
aur Muhammad se parda nahin hai
अमजद साहिब
हाफ़िज़ अमानुल्लाह क़ाज़ी
सूफ़ियान सरवर
हाफ़िज़ मुज़्ज़म्मिल हुसैन अशरफी
सैयद मुहम्मद मोइज़ अशरफ़ी