मैं भी आक़ा वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ || Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhu
Main Bhi Aaqa Wo Tere Dar Ke Nazare Dekhu Lyrics
मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ
जितने मंज़र हैं मदीने के वो सारे देखूँ
मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ
आप के पहलू में लेटे हैं अबू-बक्र-ओ-’उमर
रौज़े में आप के वो यार पियारे देखूँ
मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ
सुबह-ओ-शाम आते हैं क़ुदसी भी सलामी के लिए
ख़ुल्द के मिलते हैं जिस दर से इशारे देखूँ
मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ
सब के भरते हैं वहाँ कासे, वो दर हैं ऐसा
कैसे मिलते हैं वहाँ सब को सहारे देखूँ
मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ
कमली वाले का मैं मँगता हूँ, जहाँ वालो ! सुनो
देख कर ग़ैर की जानिब क्यूँ ख़सारे देखूँ
मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ
बड़ी हसरत हैं, शहाब ! आक़ा बुलाएँ दर पे
अपनी क़िस्मत के चमकते मैं सितारे देखूँ
मैं भी, आक़ा ! वो तेरे दर के नज़ारे देखूँ
Main bhi, Aaqa ! Wo tere dar ke nazaare dekhun
Jitne manzar hain Madine ke wo saare dekhun
Main bhi, Aaqa ! Wo tere dar ke nazaare dekhun
Aap ke pehlu mein lete hain Abu-Bakr-o-Umar
Roze mein aap ke wo yaar pyare dekhun
Main bhi, Aaqa ! Wo tere dar ke nazaare dekhun
Subah-o-Shaam aate hain Qudsi bhi salami ke liye
Khuld ke milte hain jis dar se ishaare dekhun
Main bhi, Aaqa ! Wo tere dar ke nazaare dekhun
Sab ke bharte hain wahan kaase, wo dar hain aisa
Kaise milte hain wahan sab ko sahare dekhun
Main bhi, Aaqa ! Wo tere dar ke nazaare dekhun
Kamli wale ka main mangta hoon, jahaan walo ! Suno
Dekh kar ghair ki jaanib kyun khasaare dekhun
Main bhi, Aaqa ! Wo tere dar ke nazaare dekhun
Badi hasrat hain, Shahab ! Aaqa bulaayen dar pe
Apni qismat ke chamakte main sitaare dekhun
Main bhi, Aaqa ! Wo tere dar ke nazaare dekhun
मुहम्मद शहाबुद्दीन सैफ़ी