क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की || Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Ulfat Rasool Ki
Kyun Kar Na Mere Dil Mein Ho Ulfat Rasool Ki Lyrics
क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की
जन्नत में ले के जाएगी चाहत रसूल की
क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की
चलता हूँ मैं भी, क़ाफ़िले वालो ! रुको ज़रा
मिलने दो बस मुझे भी इजाज़त रसूल की
जन्नत में ले के जाएगी चाहत रसूल की
क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की
पूछें जो दीन-ए-ईमाँ नकीरैन क़ब्र में
उस वक़्त मेरे लब पे हो मिदहत रसूल की
जन्नत में ले के जाएगी चाहत रसूल की
क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की
क़ब्र में सरकार आएँ तो मैं क़दमों में गिरूँ
गर फ़रिश्ते भी उठाएँ तो मैं उन से यूँ कहूँ
अब तो पा-ए-नाज़ से मैं, ऐ फ़रिश्तों ! क्यूँ उठूँ ?
मर के पहुँचा हूँ यहाँ इस दिलरुबा के वास्ते
तड़पा के उन के क़दमों में मुझ को गिरा दे शौक़
जिस वक़्त हो लहद में ज़ियारत रसूल की
जन्नत में ले के जाएगी चाहत रसूल की
क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की
या रब ! दिखा दे आज की शब जलवा-ए-हबीब
इक बार तो ‘अता हो ज़ियारत रसूल की
इन आँखों का वर्ना कोई मसरफ़ ही नहीं हैं
सरकार ! तुम्हारा रुख़-ए-ज़ेबा नज़र आए
या रब ! दिखा दे आज की शब जलवा-ए-हबीब
इक बार तो ‘अता हो ज़ियारत रसूल की
जन्नत में ले के जाएगी चाहत रसूल की
क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की
तू हैं ग़ुलाम उन का, ‘उबैद-ए-रज़ा ! तेरे
महशर में होगी साथ हिमायत रसूल की
जन्नत में ले के जाएगी चाहत रसूल की
क्यूँ कर न मेरे दिल में हो उल्फ़त रसूल की
Kyun kar na mere dil mein ho ulfat Rasool ki
Jannat mein le ke jaayegi chaahat Rasool ki
Kyun kar na mere dil mein ho ulfat Rasool ki
Chalta hoon main bhi, qaafile waalo ! Ruko zara
Milne do bas mujhe bhi ijaazat Rasool ki
Jannat mein le ke jaayegi chaahat Rasool ki
Kyun kar na mere dil mein ho ulfat Rasool ki
Poochhen jo Deen-e-Imaan Nakeerain qabr mein
Us waqt mere lab pe ho midhat Rasool ki
Jannat mein le ke jaayegi chaahat Rasool ki
Kyun kar na mere dil mein ho ulfat Rasool ki
Qabr mein Sarkar aayein to main qadmon mein girun
Gar farishte bhi uthaayen to main un se yun kahun
Ab to Pa-e-Naaz se main, Aye Farishton ! Kyun uthun ?
Mar ke pahuncha hoon yahan is dilruba ke waaste
Tadpa ke un ke qadmon mein mujh ko gira de shauq
Jis waqt ho lahad mein ziyarat Rasool ki
Jannat mein le ke jaayegi chaahat Rasool ki
Kyun kar na mere dil mein ho ulfat Rasool ki
Ya Rab ! Dikha de aaj ki shab jalwa-e-Habeeb
Ik baar to ata ho ziyaarat Rasool ki
In aankhon ka warna koi masraf hi nahin hain
Sarkar ! Tumhara rukh-e-zeba nazar aaye
Ya Rab ! Dikha de aaj ki shab jalwa-e-Habeeb
Ik baar to ata ho ziyaarat Rasool ki
Jannat mein le ke jaayegi chaahat Rasool ki
Kyun kar na mere dil mein ho ulfat Rasool ki
Tu hain Ghulam un ka, Ubaid-e-Raza ! Tere
Mehshar mein hogi saath himaayat Rasool ki
Jannat mein le ke jaayegi chaahat Rasool ki
Kyun kar na mere dil mein ho ulfat Rasool ki
ओवैस रज़ा क़ादरी
ओवैस रज़ा क़ादरी
मुहम्मद हस्सन रज़ा क़ादरी
फरहान अली क़ादरी