जहाँ भी हो वहीं से दो सदा सरकार सुनते हैं || Jahan Bhi Ho Wahin Se Do Sada Sarkar Sunte Hain
Jahan Bhi Ho Wahin Se Do Sada Sarkar Sunte Hain Lyrics
जहाँ भी हो वहीं से दो सदा सरकार सुनते हैं
सर-ए-आईना सुनते हैं, पस-ए-दीवार सुनते हैं
मेरी हर साँस उन की आहटों के साथ चलती है
मेरे दिल के धड़कने की भी वो रफ़्तार सुनते हैं
गुनहगारों ! दुरूद-ए-वालिहाना भेज कर देखो
वो अपने उम्मती का नग़मा-ए-किरदार सुनते हैं
खड़े रहते हैं अहल-ए-तख़्त भी दहलीज़ पर उन की
फ़क़ीरों की सदाएँ भी शह-ए-अबरार सुनते हैं
मैं सदक़े जाऊँ उन की रहमतुल-लिल-’आलमिनी के
पुकारो चाहे कितनी बार वो हर बार सुनते हैं
वो यूँ मिलते हैं जैसे ज़िंदगी में कोई मिलता है
वो सुनते हैं हर इक की और सर-ए-दरबार सुनते हैं
मुज़फ़्फ़र ! जब किसी महफ़िल में उन की ना’त पढ़ता हूँ
मेरा ईमान है वो भी मेरे अश’आर सुनते हैं
Jahaan bhi ho wahin se do sada Sarkar sunte hain
Sar-e-Aaina sunte hain, Pas-e-Deewar sunte hain
Meri har saans un ki aahaton ke saath chalti hai
Mere dil ke dhadakne ki bhi wo raftaar sunte hain
Gunahgaron ! Durood-e-Waalihana bhej kar dekho
Wo apne Ummati ka naghma-e-Kirdar sunte hain
Khade rehte hain Ahl-e-Takht bhi dehleez par un ki
Faqeeron ki sadaayen bhi Shah-e-Abrar sunte hain
Main sadqe jaun un ki Rahmatul-lil-Aalameeni ke
Pukaro chahe kitni baar wo har baar sunte hain
Wo yun milte hain jaise zindagi mein koi milta hai
Wo sunte hain har ik ki aur Sar-e-Darbar sunte hain
Muzaffar ! Jab kisi mahfil mein un ki Na’at padhta hoon
Mera imaan hai wo bhi mere ashaar sunte hain
मुज़फ़्फ़र वारसी
ओवैस रज़ा क़ादरी
ज़ोहेब अशरफ़ी
मोहम्मद अली फ़ैज़ी