जब गुंबद-ए-ख़ज़रा पे वो पहली नज़र गई || Jab Gumbad-e-Khazra Pe Woh Pehli Nazar Gayi
Jab Gumbad-e-Khazra Pe Woh Pehli Nazar Gayi Lyrics
जब गुंबद-ए-ख़ज़रा पे वो पहली नज़र गई
आँखों के रास्ते मेरे दिल में उतर गई
सर ख़म था, लब ख़ामोश थे, आँखें थी अश्क़बार
इक सा’अत-ए-बेदार थी जो कि गुज़र गई
बरसी थी इस क़दर कि नहा सा गया उधर
वो बारिश-ए-करम मेरे दामाँ को भर गई
जो कह सका न लब से, मिली वो मुराद भी
मेरे सुकूत पर भी शहा की नज़र गई
मर कर भी ना मरूँगा मैं, अल्लाह की क़सम
ये जान उन के ज़िक्र में मेरी अगर गई
दिल भी है शाद-शाद, तबी’अत है पुर-बहार
लगता है आज मेरी मदीने ख़बर गई
तयबा से लौटना किसी ‘आशिक़ से पूछिए
ऐसा लगे की रूह बदन से गुज़र गई
आवाज़, ‘उबैद ! तेरी ब-फ़ैज़ान-ए-ना’त ही
सीनों में ‘आशिक़ान-ए-नबी के उतर गई
Jab Gumbad-e-Khazra pe wo pehli nazar gayi
Aankhon ke raaste mere dil mein utar gayi
Sar kham tha, lab khamosh the, aankhen thi ashkbaar
Ik sa’at-e-bedaar thi jo ki guzar gayi
Barsi thi is qadar ki naha sa gaya udhar
Wo baarish-e-karam mere daaman ko bhar gayi
Jo keh saka na lab se, mili wo muraad bhi
Mere sukoot par bhi Shaha ki nazar gayi
Mar kar bhi na marunga main, Allah ki qasam
Ye jaan un ke zikr mein meri agar gayi
Dil bhi hai shaad-shaad, tabiyat hai pur-bahaar
Lagta hai aaj meri Madine khabar gayi
Tayba se lautna kisi Aashiq se poochhiye
Aisa lage ki rooh badan se guzar gayi
Aawaz, Ubaid ! Teri ba-faizan-e-Naat hi
Seeno mein Aashiqan-e-Nabi ke utar gayi
ओवैस रज़ा क़ादरी
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
शरीफ़ रज़ा पाली