हुज़ूर ऐसा कोई इंतिज़ाम हो जाए | सलाम के लिए हाज़िर ग़ुलाम हो जाए || Huzoor Aisa Koi Intezam Ho Jaye | Salam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye
Huzoor Aisa Koi Intezam Ho Jaye | Salam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye lyrics
हुज़ूर ! ऐसा कोई इंतिज़ाम हो जाए
सलाम के लिए हाज़िर ग़ुलाम हो जाए
मैं सिर्फ़ देख लूँ इक बार सुबह-ए-तयबा को
बला से फिर मेरी दुनिया में शाम हो जाए
तजल्लियात से भर लूँ मैं कासा-ए-दिल-ओ-जाँ
कभी जो उन की गली में क़याम हो जाए
हुज़ूर आप जो चाहें तो कुछ नहीं मुश्किल
सिमट के फ़ासिला ये चंद-गाम हो जाए
हुज़ूर आप जो सुन लें तो बात बन जाए
हुज़ूर आप जो कह दें तो काम हो जाए
मिले मुझे भी ज़बान-ए-बुसीरी-ओ-जामी
मेरा कलाम भी मक़बूल-ए-’आम हो जाए
मज़ा तो जब है फ़रिश्ते ये क़ब्र में कह दें
सबीह ! मिदहत-ए-खैर-उल-अनाम हो जाए
नसीब वालों में मेरा भी नाम हो जाए
जो ज़िंदगी की मदीने में शाम हो जाए
Huzoor ! Aisa koi intizaam ho jaaye
Salaam ke liye haazir Ghulam ho jaaye
Main sirf dekh loon ik baar Subh-e-Taiba ko
Bala se phir meri duniya mein shaam ho jaaye
Tajalliyaat se bhar loon main Kaasa-e-Dil-o-Jaan
Kabhi jo un ki gali mein qayaam ho jaaye
Huzoor aap jo chaahen to kuch nahin mushkil
Simat ke faasila ye chand-gaam ho jaaye
Huzoor aap jo sun len to baat ban jaaye
Huzoor aap jo keh den to kaam ho jaaye
Mile mujhe bhi Zabaan-e-Busairi-o-Jami
Mera Kalaam bhi Maqbool-e-‘Aam ho jaaye
Maza to jab hai Farishte ye qabr mein kah den
Sabeeh ! Midhat-e-Khair-ul-Anaam ho jaaye
Naseeb waalon mein mera bhi naam ho jaaye
Jo zindagi ki Madine mein shaam ho jaaye
सैयद सबीहुद्दीन सबीह रहमानी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
ज़ोहेब अशरफ़ी
सैयद फ़सीहुद्दीन सोहरावर्दी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
नूरी मियाँ अहमद रज़ा
ओवैस रज़ा क़ादरी