हो करम सरकार अब तो हो गए ग़म बे-शुमार || Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar
Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar Lyrics
हो करम, सरकार ! अब तो हो गए ग़म बेशुमार
जान-ओ-दिल तुम पर फ़िदा, ऐ दो जहाँ के ताजदार !
मैं अकेला और मसाइल ज़िंदगी के बेशुमार
आप ही कुछ कीजिए ना, ऐ शह-ए-‘आली-वक़ार !
याद आता है तवाफ़-ए-ख़ाना-ए-का’बा मुझे
और लिपटना मुल्तज़म से वालिहाना बार-बार
संग-ए-अस्वद चूम कर मिलता मुझे कैफ़-ओ-सुरूर
चैन पाता देख कर दिल मुस्तजाब-ओ-मुस्तजार
या ख़ुदा ! दिखला हतीम-ए-पाक-ओ-मीज़ाब-ओ-मक़ाम
और सफ़ा-मरवा मुझे बहर-ए-रसूल-ए-ज़ी-वक़ार
जा रहा है क़ाफ़िला तयबा नगर रोता हुआ
मैं रहा जाता हूँ तन्हा, ऐ हबीब-ए-किर्दगार !
जल्द फिर तुम लो बुला और सब्ज़-गुंबद दो दिखा
हाज़िरी की आरज़ू ने कर दिया फिर बे-क़रार
चूम कर ख़ाक-ए-मदीना झूमता फिरता था मैं
याद आते हैं मदीने के मुझे लैल-ओ-नहार
गुंबद-ए-ख़ज़रा के जलवे और वो इफ़्तारियाँ
याद आती है बहुत रमज़ान-ए-तयबा की बहार
या रसूलल्लाह ! सुन लीजे मेरी फ़रियाद को
कौन है जो कि सुने तेरे सिवा मेरी पुकार
हाल पर मेरे करम की इक नज़र फ़रमाइए
दिल मेरा ग़मगीन है, ऐ ग़म-ज़दों के ग़म-गुसार !
क़ाफ़िले वालो ! सुनो, याद आए तो मेरा सलाम
‘अर्ज़ करना रोते-रोते हो सके तो बार-बार
ग़म-ज़दा हूँ ना हुआ होता ‘उबैद-ए-क़ादरी
इस बरस भी देखता गर सब्ज़-गुंबद की बहार
Ho karam, Sarkar ! Ab to ho gaye gham be-shumar
Jaan-o-dil tum par fida, Aye do jahaan ke Tajdaar !
Main akela aur masail zindagi ke be-shumar
Aap hi kuch kijiye na, Aye Shah-e-‘Aali-Waqar !
Yaad aata hai Tawaaf-e-Khana-e-Ka’aba mujhe
Aur lipatna Multazam se waalihana baar-baar
Sang-e-Aswad choom kar milta mujhe kaif-o-suroor
Chain paata dekh kar dil Mustajaab-o-Mustajaar
Ya Khuda ! Dikhla Hateem-e-Pak-o-Meezaab-o-Maqaam
Aur Safa-Marwa mujhe bahr-e-Rasool-e-Zee-Waqar
Ja raha hai qaafila Taiba Nagar rota hua
Main raha jaata hoon tanha, Aye Habeeb-e-Kirdgaar !
Jald phir tum lo bula aur Sabz-Gumbad do dikha
Haaziri ki aarzoo ne kar diya phir be-qaraar
Choom kar Khaak-e-Madina jhoomta phirta tha main
Yaad aate hain Madine ke mujhe lail-o-nahaar
Gumbad-e-Khazra ke jalwe aur wo iftaariyan
Yaad aati hai bahut Ramzan-e-Taiba ki bahaar
Ya Rasoolallah ! Sun lijiye meri fariyaad ko
Kaun hai jo ki sune tere siwa meri pukaar
Haal par mere karam ki ik nazar farmaaiye
Dil mera ghamgeen hai, Aye gham-zadon ke gham-gusaar !
Qaafile waalo ! Suno, yaad aaye to mera Salaam
‘Arz karna rote-rote ho sake to baar-baar
Gham-zada hoon na hua hota ‘Ubaid-e-Qadri
Is baras bhi dekhta gar Sabz-Gumbad ki bahaar
ओवैस रज़ा क़ादरी
ओवैस रज़ा क़ादरी
ज़ोहेब अशरफ़ी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
सैयद हसन उल्लाह हुसैनी
तौफ़ीक़ रज़ा पाली
सैयद अब्दुल क़ादिर अल-क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
शरीफ़ रज़ा पाली
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी