दरिया हुसैन का है समंदर हुसैन का || Dariya Hussain Ka Hai Samandar Hussain Ka
Dariya Hussain Ka Hai Samandar Hussain Ka Lyrics
दरिया हुसैन का हैं, समंदर हुसैन का
प्यासों के वास्ते है ये लंगर हुसैन का
है आरज़ू वहाँ भी मिले दर हुसैन का
जन्नत में बन के जाऊँ मैं नौकर हुसैन का
सूरज ने अपने सर को अदब से झुका लिया
नेज़े पे जब बलंद हुआ सर हुसैन का
सब जानते हैं कितना बहादर हुसैन हैं
मौला ‘अली के हाथ का ख़ंजर हुसैन हैं
राह-ए-ख़ुदा में घर दिया और सर भी दे दिया
अब सोचिए कि कितने दिलावर हुसैन हैं
कोई यज़ीद कैसे भला सर उठाएगा
मौजूद रब के फ़ज़्ल से घर घर हुसैन हैं
चौदह सौ साल पहले गया था जो क़ाफ़िला
उस क़ाफ़िले के आज भी रहबर हुसैन हैं
ज़हरा के घर में लाल-ओ-जवाहिर हैं बेशुमार
जो सब से क़ीमती है वो गौहर हुसैन हैं
उस का भी हश्र होगा यज़ीदों के साथ साथ
जिस ने कहा कि मेरे बराबर हुसैन हैं
इब्न-ए-ज़ियाद का तो वहीं दम निकल गया
हुर्र ने कहा जो मेरा मुक़द्दर हुसैन है
Dariya Hussain ka hain, samandar Hussain ka
Pyason ke waaste hai ye langar Hussain ka
Hai aarzoo wahan bhi mile dar Hussain ka
Jannat mein ban ke jaun main naukar Hussain ka
Sooraj ne apne sar ko adab se jhuka liya
Neze pe jab buland hua sar Hussain ka
Sab jaante hain kitna bahadur Hussain hain
Maula Ali ke haath ka Khanjar Hussain hain
Raah-e-Khuda mein ghar diya aur sar bhi de diya
Ab sochiye ki kitne dilaawar Hussain hain
Koi Yazid kaise bhala sar uthayega
Maujood Rab ke Fazl se ghar ghar Hussain hain
Chaudah sau saal pehle gaya tha jo qaafila
Us qaafile ke aaj bhi rehbar Hussain hain
Zahra ke ghar mein Laal-o-Jawahir hain beshumaar
Jo sab se qeemati hai wo Gauhar Hussain hain
Us ka bhi hashr hoga Yazidon ke saath saath
Jis ne kaha ki mere barabar Hussain hain
Ibn-e-Ziyaad ka to wahin dam nikal gaya
Hurr ne kaha jo mera muqaddar Hussain hai