आज अश्क मेरे नात सुनाएँ तो अजब क्या || Aaj Ashk Mere Naat Sunaye To Ajab Kya
Aaj Ashk Mere Naat Sunaye To Ajab Kya Lyrics
आज अश्क मेरे ना’त सुनाएँ तो अजब क्या
सुन कर वो मुझे पास बुलाएँ तो अजब क्या
उन पर तो गुनहगार का सब हाल खुला है
इस पर भी वो दामन में छुपाएँ तो अजब क्या
मुँह ढाँप के रखना कि गुनहगार बहुत हूँ
मय्यत को मेरी देखने आएँ तो अजब क्या
दीदार के क़ाबिल तो नहीं चश्म-ए-तमन्ना
लेकिन वो कभी ख़्वाब में आएँ तो अजब क्या
दीदार के क़ाबिल तो कहाँ मेरी नज़र है
लेकिन वो कभी ख़्वाब में आएँ तो अजब क्या
न ज़ाद-ए-सफ़र है, न कोई काम भले हैं
फिर भी मुझे सरकार बुलाएँ तो अजब क्या
वो हुस्न-ए-दो-’आलम हैं, अदीब ! उन के क़दम से
सहरा में अगर फूल खिल जाएँ तो अजब क्या
Aaj ashk mere Naat sunaayen to ajab kya
Sun kar wo mujhe paas bulaayen to ajab kya
Un par to gunahgaar ka sab haal khula hai
Is par bhi wo daaman mein chhupaayen to ajab kya
Munh dhaanp ke rakhna ki gunahgaar bahut hoon
Mayyat ko meri dekhne aayein to ajab kya
Deedaar ke qaabil to nahin Chashm-e-Tamanna
Lekin wo kabhi Khwab mein aayein to ajab kya
Deedaar ke qaabil to kahaan meri nazar hai
Lekin wo kabhi Khwab mein aayein to ajab kya
Na Zaad-e-Safar hai, na koi kaam bhale hain
Phir bhi mujhe Sarkar bulaayen to ajab kya
Wo Husn-e-Do-Aalam hain, Adeeb ! Un ke qadam se
Sahra mein agar phool khil jaayen to ajab kya
अदीब रायपुरी
ओवैस रज़ा क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी
अब्दुल हबीब अत्तारी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी