न हो आराम जिस बीमार को सारे ज़माने से || Na Ho Aaram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se
Na Ho Aaram Jis Bimar Ko Sare Zamane Se Lyrics
न हो आराम जिस बीमार को सारे ज़माने से
उठा ले जाए थोड़ी ख़ाक उन के आस्ताने से
तुम्हारे दर के टुकड़ों से पड़ा पलता है इक ‘आलम
गुज़ारा सब का होता है इसी मोहताज-ख़ाने से
शब-ए-असरा के दूल्हा पर निछावर होने वाली थी
नहीं तो क्या ग़रज़ थी इतनी जानो के बनाने से
कोई फ़िरदौस हो या ख़ुल्द हो हम को ग़रज़ मतलब
लगाया अब तो बिस्तर आप ही के आस्ताने से
न क्यूँ उनकी तरफ़ अल्लाह सौ सौ प्यार से देखें
जो अपनी आँख मलते है तुम्हारे आस्ताने से
तुम्हारे तो वो एहसाँ और ये ना-फ़रमानियाँ अपनी
हमें तो शर्म सी आती है तुम को मुँह दिखाने से
बहारे ख़ुल्द सदक़े हो रही हैं रू-ए-’आशिक़ पर
खिली जाती हैं कलियाँ दिल की तेरे मुस्कुराने से
ज़मीं थोड़ी से दे दे बहर-ए-मदफ़न अपने कूचे में
लगा दे, मेरे प्यारे ! मेरी मिट्टी भी ठिकाने से
पलटता है जो ज़ाइर उस से कहता है नसीब उस का
अरे ग़ाफ़िल ! क़ज़ा बेहतर है याँ से फिर के जाने से
बुला लो अपने दर पर अब तो हम ख़ाना-बदोशों को
फिरें कब तक ज़लील-ओ-ख़्वार दर-दर बे-ठिकाने से
न पहुँचे उन के क़दमों तक, न कुछ हुस्न-ए-’अमल ही हैं
हसन ! क्या पूछते हो हम गए गुज़रे ज़माने से
Na ho aaram jis bimaar ko saare zamaane se
Utha le jaaye thodi khaak un ke aastaane se
Tumhare dar ke tukdon se pada palta hai ik ‘Aalam
Guzaara sab ka hota hai isi mohtaaj-khaane se
Shab-e-Asra ke dulha par nichhawar hone waali thi
Nahin to kya gharaz thi itni jaano ke banaane se
Koi Firdaus ho ya Khuld ho hum ko gharaz matlab
Lagaya ab to bistar aap hi ke aastane se
Na kyun un ki taraf Allah sau sau pyaar se dekhen
Jo apni aankh malte hain tumhare aastane se
Tumhare to wo ehsaan aur ye na-farmaaniyan apni
Hamein to sharm si aati hai tum ko munh dikhaane se
Bahaar-e-Khuld sadqe ho rahi hain ru-e-‘Aashiq par
Khili jaati hain kaliyan dil ki tere muskuraane se
Zameen thodi si de de bahr-e-madfan apne kooche mein
Laga de, mere pyare ! Meri mitti bhi thikaane se
Palatta hai jo zaa’ir us se kehta hai naseeb us ka
Are ghaafil ! Qaza behtar hai yaan se phir ke jaane se
Bula lo apne dar par ab to hum khana-badoshon ko
Phire kab tak zaleel-o-khwaar dar-dar be-thikaane se
Na pahunche un ke qadmon tak, na kuch husn-e-‘Amal hi hain
Hasan ! Kya poochhte ho hum gaye guzre zamaane se
मौलाना हसन रज़ा ख़ान
ओवैस रज़ा क़ादरी
नूरुल हुदा
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी