किस को मालूम है किस को है ये पता || Kisko Maloom Hai Kisko Hai Ye Pata
Kisko Maloom Hai Kisko Hai Ye Pata Lyrics
किस को मा’लूम है, किस को है ये पता
रब त’आला को महशर में क्या चाहिए
हर किसी को ख़ुदा की रज़ा चाहिए
और ख़ुदा को नबी की रज़ा चाहिए
कैसे ईमाँ बचाएँ ये रहता है ग़म
सब को अपनी पड़ी है, कहाँ जाएँ हम
ऐसे हालात में और इस दौर में
फिर बरेली का अहमद रज़ा चाहिए
थे बहत्तर मगर दबदबा याद कर
है हुसैनी तो फिर कर्बला याद कर
ज़ुल्म का सर यहाँ काटने के लिए
दिल में शब्बीर का हौसला चाहिए
गिरते गिरते यक़ीनन सँभल जाएगा
मेरा दा’वा है ग़म से निकल जाएगा
कामयाबी क़दम चूम लेगी तेरे
शर्त है बाप-माँ की दु’आ चाहिए
वो मुजाहिद मेरा अरशद-उल-क़ादरी
काश ! आ जाते अख़्तर रज़ा अज़हरी
हर तरफ़ से ये आने लगी फिर सदा
सुन्नियत को वही क़ाफ़िला चाहिए
छोड़ कर मुस्तफ़ा को कहाँ जाएगा
देखना रोज़-ए-महशर में पछताएगा
दामन-ए-मुस्तफ़ा आज ही थाम ले
ख़ुल्द में गर तुझे दाख़िला चाहिए
रब ने कुर’आन में कर दिया फ़ैसला
‘इश्क़ होगा नबी से तो होगा भला
जितने गुस्ताख़ है, जाएँगे नार में
ख़ुल्द को ‘आशिक़-ए-मुस्तफ़ा चाहिए
मेरे सरकार का जो सना-ख़्वान है
शा’इरों में अलग जिस की पहचान है
झूम कर ना’त पढ़ता है हर बज़्म में
इस लिए मुझ को ‘अज़मत रज़ा चाहिए
Kis ko ma’loom hai, kis ko hai ye pata
Rab Ta’ala ko Mehshar mein kya chahiye
Har kisi ko Khuda ki raza chahiye
Aur Khuda ko Nabi ki raza chahiye
Kaise Imaan bachayein ye rehta hai gham
Sab ko apni padi hai, kahan jaayen hum
Aise halaat mein aur is daur mein
Phir Bareilly ka Ahmed Raza chahiye
The bahattar magar dabdaba yaad kar
Hai Hussaini to phir Karbala yaad kar
Zulm ka sar yahan kaatne ke liye
Dil mein Shabbir ka hausla chahiye
Girte girte yaqeenan sambhal jaayega
Mera da’wa hai gham se nikal jaayega
Kaamyabi qadam choom legi tere
Shart hai baap-maa ki du’a chahiye
Wo Mujahid mera Arshad-ul-Qadri
Kaash ! Aa jaate Akhtar Raza Azhari
Har taraf se ye aane lagi phir sada
Sunniyat ko wahi qaafila chahiye
Chhod kar Mustafa ko kahaan jaayega
Dekhna Roz-e-Mehshar mein pachtayega
Daaman-e-Mustafa aaj hi thaam le
Khuld mein gar tujhe dakhila chahiye
Rab ne Qur’an mein kar diya faisla
‘Ishq hoga Nabi se to hoga bhala
Jitne gustakh hain, jaayenge naar mein
Khuld ko ‘Aashiq-e-Mustafa chahiye
Mere Sarkar ka jo sana-khwan hai
Sha’iro mein alag jis ki pehchaan hai
Jhoom kar Na’at padhta hai har bazm mein
Is liye mujh ko ‘Azmat Raza chahiye
अज़मत रज़ा भागलपुरी