दरबार-ए-मुस्तफ़ा के जो दरबान हो गए || Darbar-e-Mustafa Ke Jo Darban Ho Gaye
Darbar-e-Mustafa Ke Jo Darban Ho Gaye Lyrics
दरबार-ए-मुस्तफ़ा के जो दरबान हो गए
वो लोग कायनात के सुल्तान हो गए
जन्नत खड़ी है लेने को आग़ोश में उन्हें
जो भी रसूल-ए-पाक पे क़ुर्बान हो गए
नज्दी से कह दो हम पे न डाले बुरी नज़र
अहमद रज़ा हमारे निगहबान हो गए
ख़ाक-ए-दर-ए-हुसैन को जिस ने भी मल लिया
उस पर सितारे-चाँद भी क़ुर्बान हो गए
रू-ए-नबी पे जिस घड़ी उन की नज़र पड़ी
आए थे क़त्ल करने मुसलमान हो गए
कोई किसी के पीछे, किसी का कोई इमाम
हम मुक़तदी-ए-हज़रत-ए-हस्सान हो गए
सज्जाद ! ये निगाह-ए-नबुव्वत का फ़ैज़ था
ख़्वाजा पिया जो हिन्द के सुल्तान हो गए
Darbar-e-Mustafa ke jo darban ho gaye
Wo log Kaynat ke Sultan ho gaye
Jannat khadi hai lene ko aaghosh mein unhe
Jo bhi Rasool-e-Pak pe qurban ho gaye
Najdi se keh do hum pe na daale buri nazar
Ahmed Raza hamare nigahbaan ho gaye
Khaak-e-Dar-e-Hussain ko jis ne bhi mal liya
Us par sitaare-chand bhi qurban ho gaye
Ru-e-Nabi pe jis ghadi un ki nazar padi
Aaye the qatl karne Musalman ho gaye
Koi kisi ke peeche, kisi ka koi Imaam
Hum Muqtadi-e-Hazrat-e-Hassan ho gaye
Sajjad ! Ye Nigah-e-Nubuwwat ka faiz tha
Khwaja Piya jo Hind ke Sultan ho gaye
सज्जाद निज़ामी