ग़ुलामों को आक़ा मदीना दिखा दो || Ghulamon Ko Aaqa Madina Dikha Do
Ghulamon Ko Aaqa Madina Dikha Do Lyrics
ग़ुलामों को आक़ा ! मदीना दिखा दो
तुम्हें याद कर के बहुत रो रहे है
बड़ी हसरतें ले के बैठे हैं दिल में
किसी दिन भी, आक़ा ! मदीना दिखा दो
कोई मुझ से पूछे तेरे दिल में क्या है
मेरे दिल में, लोगो ! मदीना बसा है
जिसे देखने की तमन्ना में रोए
उसी दर को, आक़ा ! बुला कर दिखाओ
ग़ुलामों के दिल में मदीना बसा है
हर इक दिल में आक़ा ये सदमा लगा है
ग़मों के समंदर में हम रो रहे है
कि पल भर में, आक़ा ! मदीना दिखा दो
बड़ी मतलबी दुनिया हँसती हैं मुझ पर
कि कब जा रहे हो तुम आक़ा के दर पर
इसी कश्मकश में ये दिल रो रहा है
किसी दिन भी, आक़ा ! मदीना दिखा दो
वो सब से हैं आ’ला, अरे दुनिया वालो !
वो नबियों के सुल्तान हैं, दुनिया वालो !
मेरे दिल की धड़कन पे हैं वो बसे तो
मेरी धड़कनों को मदीना दिखा दो
मदीने से आ कर बताते हैं हाजी
बड़ा ख़ुश-नुमा है मदीना मदीना
मेरा दिल ये सुन कर बहुत रो रहा है
कि आक़ा मुझे भी मदीना दिखा दो
बहुत क़ाफ़िले मैं ने देखें हैं जाते
हर इक लब पे मुस्कान तयबा सजा है
मैं तयबा की गलियों में खो जाऊँ जा कर
मेरे आक़ा ! तयबा का मंज़र दिखा दो
सभी जाने वाले ये क्यूँ रो रहे हैं
ख़ुशी के ये आँसू लिए रो रहे हैं
बहुत रो रहा है ये शमशाद, आक़ा !
इसे भी बुला कर मदीना दिखा दो
Ghulamon ko Aaqa ! Madina dikha do
Tumhein yaad kar ke bahut ro rahe hain
Badi hasratein le ke baithe hain dil mein
Kisi din bhi, Aaqa ! Madina dikha do
Koi mujh se pooche tere dil mein kya hai
Mere dil mein, logo ! Madina basa hai
Jise dekhne ki tamanna mein roye
Usi dar ko, Aaqa ! Bula kar dikhao
Ghulamon ke dil mein Madina basa hai
Har ik dil mein Aaqa ye sadma laga hai
Ghamon ke samandar mein hum ro rahe hain
Ki pal bhar mein, Aaqa ! Madina dikha do
Badi matlabi duniya hansti hain mujh par
Ki kab ja rahe ho tum Aaqa ke dar par
Isi kashmakash mein ye dil ro raha hai
Kisi din bhi, Aaqa ! Madina dikha do
Wo sab se hain a’la, are duniya walo !
Wo Nabiyon ke Sultan hain, duniya walo !
Mere dil ki dhadkan pe hain wo base to
Meri dhadkanon ko Madina dikha do
Madine se aa kar batate hain Haji
Bada khush-numa hai Madina Madina
Mera dil ye sun kar bahut ro raha hai
Ki Aaqa mujhe bhi Madina dikha do
Bahut qaafile maine dekhe hain jaate
Har ik lab pe muskan Taiba saja hai
Main Taiba ki galiyon mein kho jaaun ja kar
Mere Aaqa ! Taiba ka manzar dikha do
Sabhi jaane wale ye kyun ro rahe hain
Khushi ke ye aansoo liye ro rahe hain
Bahut ro raha hai ye Shamshad, Aaqa !
Ise bhi bula kar Madina dikha do
शमशाद
जावेद रज़ा