गुज़रे जिस राह से वो सय्यिदे वाला हो कर || Guzre Jis Raah Se Wo Sayyide Wala Ho Kar
Guzre Jis Raah Se Wo Sayyide Wala Ho Kar Lyrics
गुज़रे जिस राह से वो सय्यिदे वाला हो कर
रह गई सारी ज़मीं ‘अम्बरे सारा हो कर
रुख़े अनवर की तजल्ली जो क़मर ने देखी
रह गया बोसा दहे नक़्शे कफ़े पा हो कर
वाए महरूमिये क़िस्मत कि मैं फिर अब की बरस
रह गया हम-रहे ज़व्वारे मदीना हो कर
च-मने तयबा है वो बाग़ कि मुर्ग़े सिदरा
बरसों चहके हैं जहाँ बुलबुले शैदा हो कर
सर-सरे दश्ते मदीना का मगर आया ख़याल
रश्के गुलशन जो बना गुंचए दिल वा हो कर
गोशे शह कहते हैं फ़रियाद रसी को हम हैं
वा’दए चश्म है बख़्शाएंगे गोया हो कर
पाए शह पर गिरे या रब तपिशे मेहर से जब
दिले बेताब उड़े हश्र में पारा हो कर
हैं ये उम्मीद रज़ा को तेरी रहमत से शहा
न हो ज़िन्दानिये दोज़ख़ तेरा बन्दा हो कर
Guzre jis raah se wo Sayyid-e-Wala ho kar
Rah gayi saari zameen ‘ambare saara ho kar
Rukh-e-Anwar ki tajalli jo qamar ne dekhi
Rah gaya bosa dahe naqshe kafe pa ho kar
Wae mahrumiye qismat ki main phir ab ki baras
Rah gaya hum-rah-e-Zawware Madina ho kar
Chaman-e-Taiba hai wo baagh ki Murgh-e-Sidra
Barson chahke hain jahan Bulbul-e-Shaida ho kar
Sar-sar-e-Dasht-e-Madina ka magar aaya khayaal
Rashk-e-Gulshan jo bana Ghuncha-e-Dil wa ho kar
Gosha-e-Shah kehte hain fariyaad-rasi ko hum hain
Waada-e-Chashm hai bakhshaayenge goya ho kar
Pae Shah par gire Ya Rabb tapish-e-mehr se jab
Dil-e-Betaab ude Hashr mein paara ho kar
Hain ye ummeed Raza ko teri Rehmat se Shaha
Na ho Zindani-e-Dozakh tera banda ho kar
इमाम अहमद रज़ा ख़ान
ओवैस रज़ा क़ादरी
अशफ़ाक़ अत्तार मदनी