सब सहाबा से जुदा हैं, हर अदा सिद्दीक़ की || Sab Sahaba Se Juda Hai, Har Ada Siddiq Ki
Sab Sahaba Se Juda Hai, Har Ada Siddiq Ki Lyrics
सब सहाबा से जुदा हैं, हर अदा सिद्दीक़ की
शान हैं ‘आला बहुत ही, बा-सफ़ा सिद्दीक़ की
अपना सब कुछ शाह-ए-तयबा पर न्योछावर कर दिया
बे-मिसाली हैं जहाँ भर में वफ़ा सिद्दीक़ की
फ़ज़्ले रब से और रसूल-ए-पाक के सदक़े में हैं
अतक़िया व अस्फ़िया सब पर ‘अता सिद्दीक़ की
नाम-ए-आक़ा पर अँगूठा चूमते हैं जो सभी
ये अदा हैं यार-ए-ग़ार-ए-मुस्तफ़ा सिद्दीक़ की
इसलिए सिद्दीक़ की पहले रज़ा हासिल करो
हैं वही सरकार की, जो है रज़ा सिद्दीक़ की
साँप ने काटा मगर दाख़िल नहीं होने दिया
मुस्तफ़ा से क्या वफ़ा है, बा-वफ़ा सद्दीक़ की
अफ़ज़ल-ओ-‘आला है बा’द-ए-अंबिया इंसान में
ज़ात बेशक यार-ए-ग़ार-ए-मुस्तफ़ा सिद्दीक़ की
सबने मेराज-ए-नबी का जब किया इंकार तो
मानते है पहले ये आयी सदा सिद्दीक़ हैं
होगा क्या उनका मक़ाम-ओ-मर्तबा-ए-मुन्तज़िम
जब बयाँ करते है ख़ुद आक़ा सना सिद्दीक़ की
Sab Sahaba se juda hai, har ada Siddiq ki
Shaan hain ‘Aala bahut hi, ba-safa Siddiq ki
Apna sab kuch Shah-e-Taiba par nyochhawar kar diya
Be-misaali hain jahaan bhar mein wafa Siddiq ki
Fazl-e-Rab se aur Rasool-e-Pak ke sadqe mein hain
Atqiya wa Asfiya sab par ‘ata Siddiq ki
Naam-e-Aaqa par angootha choomte hain jo sabhi
Ye ada hain Yaar-e-Gaar-e-Mustafa Siddiq ki
Isliye Siddiq ki pehle raza haasil karo
Hain wahi Sarkar ki, jo hai raza Siddiq ki
Saanp ne kaata magar daakhil nahin hone diya
Mustafa se kya wafa hai, ba-wafa Siddiq ki
Afzal-o-‘Aala hai baad-e-Ambiya insaan mein
Zaat beshak Yaar-e-Gaar-e-Mustafa Siddiq ki
Sab ne Me’raj-e-Nabi ka jab kiya inkaar to
Maante hain pehle ye, aayi sada Siddiq ki
Hoga kya un ka maqam-o-martaba-e-muntazim
Jab bayaan karte hain khud Aaqa sana Siddiq ki