मुस्तफ़ा आप के जैसा कोई आया ही नहीं || Mustafa Aap Ke Jaisa Koi Aaya Hi Nahi
Mustafa Aap Ke Jaisa Koi Aaya Hi Nahi Lyrics
मुस्तफ़ा आप के जैसा कोई आया ही नहीं
आता भी कैसे, जब अल्लाह ने बनाया ही नहीं
कोई सानी न है रब का, न मेरे आक़ा का
एक का जिस्म नहीं, एक का साया ही नहीं
क़ब्र में जब कहा सरकार ने, ये मेरा है
फिर फ़रिश्तों ने मुझे हाथ लगाया ही नहीं
ज़ुल्फ़ वल्लैल हैं, रुख़ वद्दुहा, मा-ज़ाग़ आँखें
इस तरह रब ने किसी को भी सजाया ही नहीं
आप ने जब से नवाज़ा है, या रसूलल्लाह !
मैंने दामन किसी चौखट पे बिछाया ही नहीं
जिसने सरकार के चेहरे की ज़ियारत की है
उस की नज़रों में कोई और समाया ही नहीं
लौट कर आ गया मक्के से, मदीने न गया
कैसे जाता, तुझे आक़ा ने बुलाया ही नहीं
जब से दरवाज़े पे लिखा मैंने आ’ला हज़रत
कोई गुस्ताख़-ए-नबी घर मेरे आया ही नहीं
जब से दरवाज़े पे लिखा है या रसूलल्लाह
कोई गुस्ताख़-ए-नबी घर मेरे आया ही नहीं
जब तलक पुश्त पे शब्बीर रहे, ऐ फ़ैज़ी !
सर को सज्दे से पयम्बर ने उठाया ही नहीं
Mustafa aap ke jaisa koi aaya hi nahin
Aata bhi kaise, jab Allah ne banaya hi nahin
Koi saani na hai Rab ka, na mere Aaqa ka
Ek ka jism nahin, ek ka saaya hi nahin
Qabr mein jab kaha Sarkar ne, ye mera hai
Phir Farishton ne mujhe haath lagaaya hi nahin
Zulf Wallayl hain, rukh Wadduha, Ma-Zaag aankhen
Is tarah Rab ne kisi ko bhi sajaaya hi nahin
Aap ne jab se nawaza hai, Ya Rasoolallah !
Maine daaman kisi chaukhat pe bichhaaya hi nahin
Jisne Sarkar ke chehre ki ziyaarat ki hai
Us ki nazron mein koi aur samaaya hi nahin
Laut kar aa gaya Makke se, Madine na gaya
Kaise jaata, tujhe Aaqa ne bulaaya hi nahin
Jab se darwaaze pe likha maine A’la Hazrat
Koi Gustakh-e-Nabi ghar mere aaya hi nahin
Jab se darwaaze pe likha hai Ya Rasoolallah
Koi Gustakh-e-Nabi ghar mere aaya hi nahin
Jab talak pusht pe Shabbir rahe, Aye Faizi !
Sar ko sajde se Payambar ne uthaaya hi nahin
शमीम फ़ैज़ी
शमीम फ़ैज़ी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
सैयद हसन उल्लाह हुसैनी
शरीफ़ रज़ा पाली