अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ || Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun
Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun Lyrics
अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ
अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ
आख़िरी ‘उम्र में क्या रौनक़-ए-दुनिया देखूँ
अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ
आख़िरी वक़्त में क्या रौनक़-ए-दुनिया देखूँ
अब तो बस एक ही धुन है कि मदीना देखूँ
अज़-उफ़क़ ता-ब-उफ़क़ एक ही जलवा देखूँ
जिस तरफ़ आँख उठे रौज़ा-ए-वाला देखूँ
‘आक़िबत मेरी सँवर जाए जो तयबा देखूँ
दस्त-ए-इमरोज़ में आईना-ए-फ़र्दा देखूँ
मैं कहाँ हूँ, ये समझ लूँ तो उठाऊँ नज़रें
दिल सँभल जाए तो मैं जानिब-ए-ख़ज़रा देखूँ
मैं कहाँ हूँ, ये समझ लूँ तो उठाऊँ नज़रें
दिल जो सँभले तो मैं फिर गुम्बद-ए-ख़ज़रा देखूँ
मैंने जिन आँखों से देखा है कभी शहर-ए-नबी
और इन आँखों से अब क्या कोई जलवा देखूँ
बा’द-ए-रिहलत भी जो सरकार को महबूब रहा
अब इन आँखों से मैं ख़ुश-बख़्त वो हुजरा देखूँ
जालियाँ देखूँ कि दीवार-ओ-दर-ओ-बाम-ए-हरम
अपनी मा’ज़ूर निगाहों से मैं क्या-क्या देखूँ
मेरे मौला ! मेरी आँखें मुझे वापस कर दे
ताकि इस बार मैं जी भर के मदीना देखूँ
जिन गली-कूचों से गुज़रे हैं कभी मेरे हुज़ूर
उन में ता-हद्द-ए-नज़र नक्श-ए-क़दम-ए-पा देखूँ
ताकि आँखों का भी एहसान उठाना न पड़े
क़ल्ब ख़ुद आईना बन जाऊँ, मैं इतना देखूँ
काश, इक़बाल ! यूँही ‘उम्र बसर हो मेरी
सुबह का’बे में हो और शाम को तयबा देखूँ
Ab to bas ek hi dhun hai ki Madina dekhun
Ab to bas ek hi dhun hai ki Madina dekhun
Aakhiri ‘umr mein kya raunaq-e-duniya dekhun
Ab to bas ek hi dhun hai ki Madina dekhun
Aakhiri waqt mein kya raunaq-e-duniya dekhun
Ab to bas ek hi dhun hai ki Madina dekhun
Az-Ufuq ta-ba-Ufuq ek hi jalwa dekhun
Jis taraf aankh uthe Roza-e-Wala dekhun
‘Aaqibat meri sanwar jaaye jo Taiba dekhun
Dast-e-Imroz mein Aaina-e-Farda dekhun
Main kahaan hoon, ye samajh loon to uthaun nazren
Dil sambhal jaaye to main Jaanib-e-Khazra dekhun
Main kahaan hoon, ye samajh loon to uthaun nazren
Dil jo sambhle to main phir Gumbad-e-Khazra dekhun
Maine jin aankhon se dekha hai kabhi Shehar-e-Nabi
Aur in aankhon se ab kya koi jalwa dekhun
Ba’ad-e-Rihlat bhi jo Sarkar ko mehboob raha
Ab in aankhon se main khush-bakht wo hujra dekhun
Jaaliyan dekhun ki Deewar-o-Dar-o-Baam-e-Haram
Apni maa’zoor nigahon se main kya-kya dekhun
Mere Maula ! Meri aankhen mujhe wapas kar de
Taaki is baar main ji bhar ke Madina dekhun
Jin gali-koochon se guzre hain kabhi mere Huzoor
Un mein ta-hadd-e-nazar Naqsh-e-Qadam-e-Pa dekhun
Taaki aankhon ka bhi ehsaan uthaana na pade
Qalb khud aaina ban jaaun, main itna dekhun
Kaash, Iqbal ! Yunhi ‘umr basar ho meri
Subah Ka’abe mein ho aur shaam ko Taiba dekhun
इक़बाल अज़ीम
ओवैस रज़ा क़ादरी
शरीफ़ रज़ा पाली
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी