बस आप की जानिब ही मेरा दिल लगा हो || Bas Aap Ki Janib Hi Mera Dil Laga Ho
Bas Aap Ki Janib Hi Mera Dil Laga Ho Lyrics
बस आप की जानिब ही मेरा दिल लगा हो
इस दिल में सिवा आप के कोई न बसा हो
मैं ज़ख़्म गुनाहों के किसे जाके दिखाऊँ
या पीर ! लबे दम को ‘अता अब तो शिफ़ा हो
घबरा के गुनाहों से नज़र तुम पे लगायी
अब आके बचा लो के इस आसी का भला हो
आँखों पे लगा दे जो मेरे क़फ़्ल-ए-मदीना
या पीर ! मुझे ‘अता ऐसी शर्म-ओ-हया हो
अत्तारी हूँ, अत्तारी रहूँ, अत्तारी मरूँ मैं
महशर में भी निस्बत से मेरा काम बना हो
हैं मौत भी नज़दीक, मैं अंजाम से ग़ाफ़िल
ईमान की हिफ़ाज़त की मुझे फ़िक्र ‘अता हो
Bas aap ki jaanib hi mera dil laga ho
Is dil mein siwa aap ke koi na basa ho
Main zakhm gunahon ke kise jaake dikhaun
Ya Peer ! labe dam ko ‘ata ab to shifa ho
Ghabra ke gunahon se nazar tum pe lagaayi
Ab aake bacha lo ke is aasi ka bhala ho
Aankhon pe laga de jo mere qafl-e-Madina
Ya Peer ! mujhe ‘ata aisi sharm-o-haya ho
‘Attari hoon, ‘Attari rahun, ‘Attari marun main
Mehshar mein bhi nisbat se mera kaam bana ho
Hain maut bhi nazdeek, main anjaam se ghaafil
Imaan ki hifazat ki mujhe fikr ‘ata ho