पंजतन की ज़रा छेड़िए गुफ़्तुगू || Panjtan Ke Zara Chhediye Guftugu
Panjtan Ke Zara Chhediye Guftugu Lyrics
पंजतन की ज़रा छेड़िए गुफ़्तुगू
नूरी चादर का क़िस्सा सुना दीजिए
सर से पा तक जो सब नूर ही नूर हैं
उन के पैकर का क़िस्सा सुना दीजिए
जिस से महव-ए-‘इबादत रहीं फ़ातिमा
बे-इजाज़त न जिब्रील आए जहाँ
जिस में पैदा हुए हैं हुसैन-ओ-हसन
हम को उस घर का क़िस्सा सुना दीजिए
जिन की हिम्मत पे दुनिया भी हैरान है
जिन का शाहिद वो कर्बल का मैदान है
दे गए हैं जो इस्लाम को ज़िंदगी
उन बहत्तर का क़िस्सा सुना दीजिए
अल्लाह अल्लाह ! बच्चा वो छः माह का
क्या सितम है, न उस को भी बख़्शा गया
जिस की आँखों में आँसू न आए कभी
उस को असग़र का क़िस्सा सुना दीजिए
कैसी बिजली निकलती थी तलवार से
कैसे उड़ते थे सर उन के इक वार से
कैसे थर्रा रहा था वो कर्ब-ओ-बला
ज़र्ब-ए-अकबर का क़िस्सा सुना दीजिए
ख़ून ‘औन-ओ-मुहम्मद का कैसे बहा
कैसे क़ासिम को मक़्तल से लाया गया
कैसे बेटों की लाशें उठाते रहे
इब्न-ए-हैदर का क़िस्सा सुना दीजिए
सारी दुनिया में जिन का बड़ा शोर है
जिन को ताक़त का, अज़हर ! बड़ा ज़ोर है
बद्र का उन को नक़्शा दिखा दीजिए
जंग-ए-ख़ैबर का क़िस्सा सुना दीजिए
Panjtan ki zara chhediye guftugu
Noori chaadar ka qissa suna dijiye
Sar se paa tak jo sab Noor hi Noor hain
Un ke paikar ka qissa suna dijiye
Jis se mahv-e-‘Ibaadat rahi Fatima
Be-ijaazat na Jibreel aaye jahaan
Jis mein paida hue hain Hussain-o-Hasan
Hum ko us ghar ka qissa suna dijiye
Jin ki himmat pe duniya bhi hairaan hai
Jin ka shaahid wo Karbal ka maidaan hai
De gaye hain jo Islam ko zindagi
Un bahattar ka qissa suna dijiye
Allah Allah ! Baccha wo chhah maah ka
Kya sitam hai, na us ko bhi bakhsha gaya
Jis ki aankhon mein aansoo na aaye kabhi
Us ko Asgar ka qissa suna dijiye
Kaisi bijli nikalti thi talwaar se
Kaise udte the sar un ke ik waar se
Kaise tharra raha tha wo Karb-o-Bala
Zarb-e-Akbar ka qissa suna dijiye
Khoon Aun-o-Muhammad ka kaise baha
Kaise Qasim ko maqtal se laaya gaya
Kaise beton ki laashen uthaate rahe
Ibn-e-Haidar ka qissa suna dijiye
Saari duniya mein jin ka bada shor hai
Jin ko taaqat ka, Azhar ! Bada zor hai
Badr ka un ko naqsha dikha dijiye
Jang-e-Khaibar ka qissa suna dijiye
मौलाना अज़हर फ़ारूक़ी बरेलवी
मुहम्मद अली फ़ैज़ी