जो मदीना हम भी जाते तो कुछ और बात होती || Jo Madina Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat Hoti
Jo Madina Hum Bhi Jaate To Kuch Aur Baat Hoti Lyrics
जो मदीना हम भी जाते तो कुछ और बात होती
कभी लौट कर न आते तो कुछ और बात होती
मय-ए-’इश्क़-ए-मुस्तफ़ा हम वहीं पी के मस्त रहते
सर-ए-हश्र लड़खड़ाते तो कुछ और बात होती
मेरी ज़ीस्त के ‘अनासिर दर-ए-मुस्तफ़ा पे चल के
मेरा साथ छोड़ जाते तो कुछ और बात होती
मेरे आँसुओं पे ना-हक़ न सितारों मुस्कुराओ
ये जो तयबा देख पाते तो कुछ और बात होती
ये सितारों का तबस्सुम है नज़र-नवाज़ लेकिन
जो हुज़ूर मुस्कुराते तो कुछ और बात होती
मुझे ज़हर देने वाले बड़े कम-नज़र हैं, आक़ा !
तेरे नाम पर पिलाते तो कुछ और बात होती
ये हवा के मस्त झोंके जो इरम से आ रहे हैं
यही तयबा हो के आते तो कुछ और बात होगी
ये फ़रोग़-ए-’इल्म-ओ-दानिश, ये मता-ए-रंग-ए-’आलम
यहाँ मुस्तफ़ा न आते तो कुछ और बात होती
ये जो ना’त-ए-पाक, बेकल ! सर-ए-बज़्म पढ़ रहे हो
कहीं तयबा में सुनाते तो कुछ और बात होती
Jo Madine hum bhi jaate to kuch aur baat hoti
Kabhi laut kar na aate to kuch aur baat hoti
May-e-Ishq-e-Mustafa hum wahin pee ke mast rehte
Sar-e-Hashr ladkhadaate to kuch aur baat hoti
Meri zeest ke anaasir Dar-e-Mustafa pe chal ke
Mera saath chhod jaate to kuch aur baat hoti
Mere aansuon pe na-haq na sitaron muskuraao
Ye jo Taiba dekh paate to kuch aur baat hoti
Ye sitaron ka tabassum hai nazar-nawaaz lekin
Jo Huzoor muskuraate to kuch aur baat hoti
Mujhe zehar dene wale bade kam-nazar hain, Aaqa !
Tere naam par pilaate to kuch aur baat hoti
Ye hawa ke mast jhonke jo Iram se aa rahe hain
Yahi Taiba ho ke aate to kuch aur baat hoti
Ye farogh-e-Ilm-o-Danish, ye mata-e-rang-e-Aalam
Yahan Mustafa na aate to kuch aur baat hoti
Ye jo Naat-e-Pak, Bekal ! Sar-e-Bazm padh rahe ho
Kahin Taiba mein sunaate to kuch aur baat hoti
बेकल उत्साही
साबिर रज़ा अज़हरी