सैर-ए-गुलशन कौन देखे दश्त-ए-तयबा छोड़ कर || Sair-e-Gulshan Kaun Dekhe Dasht-e-Taiba Chhod Kar
Sair-e-Gulshan Kaun Dekhe Dasht-e-Taiba Chhod Kar Lyrics
सैर-ए-गुलशन कौन देखे दश्त-ए-तयबा छोड़ कर
सू-ए-जन्नत कौन जाए दर तुम्हारा छोड़ कर
सरगुज़श्त-ए-ग़म कहूँ किस से तेरे होते हुए
किस के दर पर जाऊँ तेरा आस्ताना छोड़ कर
बे-लिक़ा-ए-यार उन को चैन आ जाता अगर
बार बार आते न यूँ जिब्रील सिदरा छोड़ कर
कौन कहता है दिल-ए-बे-मुद्द’आ है ख़ूब चीज़
मैं तो कोड़ी को न लूँ उन की तमन्ना छोड़ कर
मर ही जाऊँ मैं अगर इस दर से जाऊँ दो क़दम
क्या बचे बीमार-ए-ग़म क़ुर्ब-ए-मसीहा छोड़ कर
किस तमन्ना पर जिएँ, या रब ! असीरान-ए-क़फ़स
आ चुकी बाद-ए-सबा बाग़-ए-मदीना छोड़ कर
बख़्शवाना मुझ से ‘आसी का रवा होगा किसे
किस के दामन में छुपूँ दामन तुम्हारा छोड़ कर
ख़ुल्द कैसा ? नफ़्स-ए-सरकश ! जाऊँगा तयबा को मैं
बद-चलन हट कर खड़ा हो मुझ से रस्ता छोड़ कर
ऐसे जल्वे पर करूँ मैं लाख हूरों को निसार
क्या ग़रज़ क्यूँ जाऊँ जन्नत को मदीना छोड़ कर
हश्र में एक एक का मूँह तकते फिरते हैं ‘अदू
आफ़तों में फँस गए उन का सहारा छोड़ कर
मर के जीते हैं जो उन के दर पे जाते हैं, हसन !
जी के मरते हैं जो आते हैं मदीना छोड़ कर
Sair-e-Gulshan kaun dekhe Dasht-e-Taiba chhod kar
Su-e-Jannat kaun jaaye Dar tumhara chhod kar
Sarguzasht-e-Gham kahun kis se tere hote hue
Kis ke dar par jaaun tera Aastana chhod kar
Be-Liqa-e-Yaar un ko chain aa jaata agar
Bar bar aate na yun Jibreel Sidra chhod kar
Kaun kehta hai Dil-e-Be-Mudd’aa hai khoob cheez
Main to kodi ko na loon un ki tamanna chhod kar
Mar hi jaaun main agar is dar se jaaun do qadam
Kya bache Beemar-e-Gham Qurb-e-Masiha chhod kar
Kis tamanna par jiyein, Ya Rab ! Aseeran-e-Qafas
Aa chuki Baad-e-Saba Baagh-e-Madina chhod kar
Bakhshwaana mujh se Aasi ka rawa hoga kise
Kis ke daaman mein chhupun daaman tumhara chhod kar
Khuld kaisa ? Nafs-e-Sarkash ! Jaaunga Taiba ko main
Bad-chalan hat kar khada ho mujh se rasta chhod kar
Aise jalwe par karun main laakh Hooron ko nisaar
Kya gharaz kyun jaaun Jannat ko Madina chhod kar
Hashr mein ek ek ka munh takte phirte hain ‘Adu
Aafaton mein phans gaye un ka sahara chhod kar
Mar ke jeete hain jo un ke dar pe jaate hain, Hasan !
Ji ke marte hain jo aate hain Madina chhod kar
मौलाना हसन रज़ा ख़ान
साबिर रज़ा अज़हरी
सैयद अहमद सोहरावर्दी
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
जावेद रज़ा क़ादरी बासनी