मेरे लफ़्ज़ों में शम्सुद्दुहा है, मेरे लहजे में बदरुद्दुजा || Mere Lafzon Mein Shamsudduha Hai, Mere Lahje Mein Badrudduja
Mere Lafzon Mein Shamsudduha Hai, Mere Lahje Mein Badrudduja Lyrics
मेरे लफ़्ज़ों में शम्सुद्दुहा है, मेरे लहजे में बदरूद्दुजा
मश’अल-ए-मिदहत-ए-मुस्तफ़ा हूँ, हर अँधेरे को मैं जगमगा दूँ
ऐसी इक ना’त लिखने की, या रब ! मुझ को तौफ़ीक़ दे ज़िंदगी में
उन की ज़ुल्फ़ों की ख़ुशबू सुँघाऊँ, उन के क़दमों की आहट सुना दूँ
इक यही आरज़ू रह गई है, उन के दरबार तक हो रसाई
अपनी पेशानी उस दर पे रख दूँ, सारी दुनिया को फिर मैं भुला दूँ
वो मेरी शायरी, मेरा फ़न हैं, मैं सुख़न हूँ, वो जान-ए-सुख़न हैं
अपना सब कुछ उन्हीं का दिया है, अपना सब कुछ उन्हीं पर लुटा दूँ
मेरी बख़्शिश का सामान यही है, मेरे दिल का भी अरमाँ यही है
एक दिन उन के रोज़े पे जा कर, उन की ना’तें उन्हीं को सुना दूँ
है तमन्ना कि ढल जाऊँ, या रब ! पैकर-ए-उस्वा-ए-मुस्तफ़ा में
मुस्कराऊँ अगर संग बरसें, हर बुरे को भली सी दु’आ दूँ
‘इश्क़ है आग, आँसू है पानी, दोनों यकजा हैं ‘इश्क़-ए-नबी में
ये करिश्मा है ना’त-ए-नबी का, जब कहो ये करिश्मा दिखा दूँ
काश ! आए जब उन की सवारी, ऐ अदीब ! उन के क़दमों के नीचे
खींच कर रूह को तन से बाहर, उस की चादर बना कर बिछा दूँ
Mere lafzon mein Shamsudduha hai,
mere lahje mein Badrudduja
Mash’al-e-Midhat-e-Mustafa hoon,
har andhere ko main jagmaga doon
Aisi ik Naat likhne ki, Ya Rab !
Mujh ko taufeeq de zindagi mein
Un ki zulfon ki khushboo sunghaun,
un ke qadmon ki aahat suna doon
Ik yahi aarzoo reh gai hai,
un ke darbar tak ho rasaai
Apni peshani us dar pe rakh doon,
saari duniya ko phir main bhula doon
Wo meri shayari, mera fan hain,
main sukhan hoon, wo Jaan-e-Sukhan hain
Apna sab kuch unhi ka diya hai,
apna sab kuch unhi par luta doon
Meri bakhshish ka samaan yahi hai,
mere dil ka bhi armaan yahi hai
Ek din un ke Roze pe ja kar,
un ki Naat’en unhin ko suna doon
Hai tamanna ki dhal jaun, Ya Rab !
Paikar-e-Uswa-e-Mustafa mein
Muskaraun agar sang barsen,
har bure ko bhali si du’a doon
Ishq hai aag, aansoo hai paani,
donon yakja hain Ishq-e-Nabi mein
Ye karishma hai Naat-e-Nabi ka,
jab kaho ye karishma dikha doon
Kaash ! Aaye jab un ki sawari,
Aye Adeeb ! Un ke qadmon ke neeche
Kheench kar rooh ko tan se baahar,
us ki chaadar bana kar bichha doon
अदीब रायपुरी
असद रज़ा अत्तारी
हाफ़िज़ ज़ुबैर अत्तारी