मुझ पे गर प्यारे मुहम्मद की नज़र हो जाए || Mujh Pe Gar Pyare Muhammad Ki Nazar Ho Jaye
Mujh Pe Gar Pyare Muhammad Ki Nazar Ho Jaye Lyrics
मुझ पे गर प्यारे मुहम्मद की नज़र हो जाए
हर ख़तरे से मेरा वल्लाह गुज़र हो जाए
कौन कहता है मुसलमान में ताक़त न रहीं
ज़ेर जो चाहें तो पल भर में ज़बर हो जाए
वद्दुहा चेहरा हैं वल्लैल हैं आँखें जिन की
रुख़ से गर पर्दा उठा दें तो सहर हो जाए
जिसको सरकार-ए-दो ‘आलम का पसीना हो नसीब
क्यों न दुनिया में निराला वह बशर हो जाए
मेरा ईमान हैं सरकार समा’अत करते
आह कर दूं तो मुहम्मद को ख़बर हो जाए
आरज़ू दिल में रहा करती हैं इतनी सी फ़क़त
काश क़िस्मत में मदीने का सफ़र हो जाए
ख़ाक-ए-तैबा ऐ तसद्दुक़ ! जो मले चेहरे पर
चेहरा उस शख्स का हां मिस्ल-ए-क़मर हो जाए
Mujh pe gar pyaare Muhammad ki nazar ho jaaye
Har khatre se mera Wallah guzar ho jaaye
Kaun kehta hai Musalmaan mein taaqat na rahin
Zer jo chahein to pal bhar mein Zabar ho jaaye
Wad-Duha chehra hain Wal-Layl hain aankhen jin ki
Rukh se gar parda utha de to sahar ho jaaye
Jis ko Sarkar-e-Do Aalam ka paseena ho naseeb
Kyun na duniya mein nirala woh bashar ho jaaye
Mera imaan hain Sarkar sama’at karte
Aah kar dun to Muhammad ko khabar ho jaaye
Aarzoo dil mein raha karti hain itni si faqat
Kaash qismat mein Madine ka safar ho jaaye
Khaak-e-Tayba Aye Tasadduq ! Jo male chehre par
Chehra us shakhs ka haan misl-e-Qamar ho jaaye
तसद्दुक़ ख़ान रज़वी
अख़्तर अज़ीज़ी