ज़हरा का दिल अली का दुलारा हुसैन है || Zahra Ka Dil Ali Ka Dulara Hussain Hai
Zahra Ka Dil Ali Ka Dulara Hussain Hai Lyrics
ज़हरा का दिल ‘अली का दुलारा हुसैन है
प्यारे नबी की आँखों का तारा हुसैन है
हर जन्नती जवाँ की क़यादत है उस के हाथ
अल्लाह की नज़र में यूँ प्यारा हुसैन है
काँधें पे जो रसूल के होता रहा सवार
क़िस्मत का एक शोख़ सितारा हुसैन है
मैदान-ए-कर्बला से है गूँजी यही सदा
इस्लाम का सुतुन-ओ-सहारा हुसैन है
सर को कटा के, मोमिनों ! साबित ये कर दिया
ईमान और यक़ीन का धारा हुसैन है
इस्लाम के लिए थी शहादत हुसैन की
सौग़ात-ए-नानाजान पे वारा हुसैन है
‘उक़्बा का ताजवर ही नहीं है ‘अली का ला’ल
दुनिया के हर जवाँ में भी न्यारा हुसैन हैं
जिस ने यज़ीदियों से सुल्ह-ए-कुल न की कभी
बातिल के सर पे हक़ का शरारा हुसैन है
Zahra ka dil Ali ka dulara Hussain hai
Pyare Nabi ki aankhon ka taara Hussain hai
Har Jannati jawaan ki qayaadat hai us ke haath
Allah ki nazar mein yun pyaara Hussain hai
Kaandhon pe jo Rasool ke hota raha sawaar
Qismat ka ek shokh sitaara Hussain hai
Maidaan-e-Karbala se hai goonji yahi sada
Islam ka sutoon-o-sahaara Hussain hai
Sar ko kata ke, Momino ! Saabit ye kar diya
Imaan aur yaqeen ka dhaara Hussain hai
Islam ke liye thi shahaadat Hussain ki
Saugaat-e-Nanajaan pe waara Hussain hai
Uqba ka taajwar hi nahin hai Ali ka laal
Duniya ke har jawaan mein bhi nyaara Hussain hain
Jis ne Yazidiyon se Sulh-e-Kul na ki kabhi
Baatil ke sar pe Haq ka sharaara Hussain hai
हाफ़िज़ुल्लाह क़ासमी
संदली अहमद