हुसैन सब से अज़ीम-तर है || Hussain Sab Se Azeem Tar Hai
Hussain Sab Se Azeem Tar Hai Lyrics
है मेरा मौला या हुसैन
है तेरा मौला या हुसैन
आक़ा का प्यारा या हुसैन
है सब का मौला या हुसैन
हुसैन का ज़िक्र ‘अर्श पर है
हुसैन सब से ‘अज़ीम-तर है
ये हुक्म-ए-सुल्तान-ए-बहर-ओ-बर है
हुसैन सब से ‘अज़ीम-तर है
जनाब-ए-मौला हसन बिरादर
जनाब-ए-ज़हरा हैं जिस की मादर
जनाब-ए-मौला ‘अली पिदर है
हुसैन सब से ‘अज़ीम-तर है
जलाल देखा हुसैन का जब
पुकार उट्ठा यज़ीदी लश्कर
जनाब-ए-हैदर का ये पिसर है
हुसैन सब से ‘अज़ीम-तर है
ज़ुबाँ पे क़ुरआँ की हैं तिलावत
ये देख कर हैं जहाँ में हैरत
कि नोक-ए-नेज़ा पे रक्खा सर है
हुसैन सब से ‘अज़ीम-तर है
जो बाग़ी दीन-ए-रसूल का है
जो बाग़ी इब्न-ए-बतूल का है
वो आज भी फिरता दर-ब-दर है
हुसैन सब से ‘अज़ीम-तर हैं
फ़क़त ख़ुदा की रज़ा की ख़ातिर
नबी के दीं की बक़ा की ख़ातिर
लुटा दिया जिस ने अपना घर है
हुसैन सब से ‘अज़ीम-तर हैं
चला जो मैदाँ में ले के ख़ंजर
तो थरथराया यज़ीदी लश्कर
वो शेर-ए-हैदर है, वो निडर है
हुसैन सब से ‘अज़ीम-तर हैं
हुआ है हैराँ जहान सारा
जो एक कासे में सागर आया
करम ये उसका ही ख़्वाजा पर है
हुसैन सब से ‘अज़ीम-तर हैं
जहाँ से, शौक़-ए-फ़रीदी ! वल्लाह
यज़ीद की नस्ल मिट चुकी है
हमारा मौला मगर अमर है
हुसैन सब से ‘अज़ीम-तर हैं
Hai mera Maula Ya Hussain
Hai tera Maula Ya Hussain
Aaqa ka pyara Ya Hussain
Hai sab ka Maula Ya Hussain
Hussain ka zikr Arsh par hai
Hussain sab se Azeem-tar hai
Ye Hukm-e-Sultan-e-Bahr-o-Bar hai
Hussain sab se Azeem-tar hai
Janaab-e-Maula Hasan biraadar
Janaab-e-Zahra hain jis ki maadar
Janaab-e-Maula Ali pidar hai
Hussain sab se Azeem-tar hai
Jalaal dekha Hussain ka jab
Pukaar uttha Yazidi lashkar
Janaab-e-Haidar ka ye pisar hai
Hussain sab se Azeem-tar hai
Zubaan pe Qur’an ki hain tilaawat
Ye dekh kar hain jahaan mein hairat
Ki nok-e-neza pe rakkha sar hai
Hussain sab se Azeem-tar hai
Jo baaghi Deen-e-Rasool ka hai
Jo baaghi Ibn-e-Batool ka hai
Wo aaj bhi phirta dar-badar hai
Hussain sab se Azeem-tar hain
Faqat Khuda ki raza ki khaatir
Nabi ke Deen ki baqa ki khaatir
Luta diya jis ne apna ghar hai
Hussain sab se Azeem-tar hain
Chala jo maidaan mein le ke khanjar
To thar-tharaaya Yazidi lashkar
Wo Sher-e-Haidar hai, wo nidar hai
Hussain sab se Azeem-tar hain
Hua hai hairaan jahaan saara
Jo ek kaase mein saagar aaya
Karam ye uska hi Khwaja par hai
Hussain sab se Azeem-tar hain
Jahaan se, Shauq-e-Faridi ! Wallah
Yazid ki nasl mit chuki hai
Hamara Maula magar amar hai
Hussain sab se Azeem-tar hain
हाफ़िज़ शौक़ फ़रीदी
फ़िरदौस क़ादरी
साहिल रज़ा क़ादरी