अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई || Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi Lyrics
अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई
जैसे मेरे सरकार हैं, ऐसा नहीं कोई
तुम सा तो हसीं आँख ने देखा नहीं कोई
ये शान-ए-लताफ़त है कि साया नहीं कोई
ए ज़र्फ़-ए-नज़र ! देख मगर देख अदब से
सरकार का जलवा हैं, तमाशा नहीं कोई
ये तूर से कहती है अभी तक शब-ए-मे’राज
दीदार की ताक़त हो तो पर्दा नहीं कोई
होता हैं जहाँ ज़िक्र, मुहम्मद के करम का
उस बज़्म में महरूम-ए-तमन्ना नहीं कोई
ए’ज़ाज़ ये हासिल है तो हासिल है ज़मीं को
अफ़्लाक़ पे तो गुम्बद-ए-ख़ज़रा नहीं कोई
दरमान-ए-ग़म-ओ-दर्द, शिफ़ा-ए-दिल-ए-बीमार
जुज़ आप के, ए जान-ए-मसीहा ! नहीं कोई
सरकार की रहमत ने मगर ख़ूब नवाज़ा
ये सच है कि ख़ालिद सा निकम्मा नहीं कोई
Ab meri nigahon mein jachta nahin koi
Jaise mere Sarkar hain, aisa nahin koi
Tum sa to haseen aankh ne dekha nahin koi
Ye Shaan-e-Lataafat hai ki saaya nahin koi
Aye Zarf-e-Nazar ! Dekh magar dekh adab se
Sarkar ka jalwa hain, tamasha nahin koi
Ye Toor se kehti hai abhi tak Shab-e-Meraj
Deedar ki taaqat ho to parda nahin koi
Hota hain jahaan zikr, Muhammad ke karam ka
Us bazm mein mehroom-e-tamanna nahin koi
Ejaz ye haasil hai to haasil hai zameen ko
Aflaak pe to Gumbad-e-Khazra nahin koi
Darmaan-e-Gham-o-Dard, Shifa-e-Dil-e-Bimaar
Juz aap ke, Aye Jaan-e-Maseeha ! Nahin koi
Sarkar ki rehmat ne magar khoob nawaaza
Ye sach hai ki Khalid sa nikamma nahin koi
ख़ालिद महमूद ख़ालिद
ओवैस रज़ा क़ादरी
सैयद फ़सीहुद्दीन सोहरावर्दी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी