तक़दीर से मिली है मोहब्बत हुसैन की || Taqdeer Se Mili Hai Mohabbat Hussain Ki
Taqdeer Se Mili Hai Mohabbat Hussain Ki Lyrics
तक़दीर से मिली है मोहब्बत हुसैन की
जन्नत में ले के जाएगी उल्फ़त हुसैन की
रब्ब-ए-हुसैन ! वासिता प्यारे हुसैन का
फ़िरदौस में ‘अता हो रफ़ाक़त हुसैन की
माँ फ़ातिमा तो वालिद-ए-माजिद हैं मुर्तज़ा
नाना नबी हैं, ख़ूब है क़िस्मत हुसैन की
शेर-ए-ख़ुदा के शेर हैं, बेहद दिलेर हैं
मशहूर हैं जहाँ में शुजा’अत हुसैन की
कुंबा लुटाया, जान भी अपनी निसार की
बे-मिस्ल-ओ-बे-मिसाल शहादत हुसैन की
तख़्त-ए-यज़ीद ख़ाक में मिल कर फ़ना हुआ
हैं आज भी दिलों पे हुकूमत हुसैन की
दिल में रचा ले ‘इश्क़ तू ज़हरा के लाल का
महशर में रंग लाएगी चाहत हुसैन की
मौला ‘अली के लाल का अदना ग़ुलाम हूँ
निस्बत रहे, ‘इलाही ! सलामत हुसैन की
बू-बक्र और ‘उमर के तुफ़ैल, ऐ ख़ुदा-ए-पाक !
मरने से पहले देख लूं तुर्बत हुसैन की
महरूम कैसे हो भला मँगता हुसैन का
ख़ाली फिराना है नहीं ‘आदत हुसैन की
भर भर के झोलियाँ लिए जाते हैं सब गदा
मशहूर हैं जहाँ में सख़ावत हुसैन की
‘अत्तार की ये आरज़ू पूरी हो, या ख़ुदा !
इस को दिखा दे ख़्वाब में सूरत हुसैन की
Taqdeer se mili hai mohabbat Hussain ki
Jannat mein le ke jaayegi ulfat Hussain ki
Rabb-e-Hussain ! Waasita pyare Hussain ka
Firdaus mein ‘ata ho rafaaqat Hussain ki
Maa Fatima to waalid-e-maajid hain Murtaza
Nana Nabi hain, khoob hai qismat Hussain ki
Sher-e-Khuda ke sher hain, behad diler hain
Mashhoor hain jahaan mein shuja’at Hussain ki
Kumba lutaya, jaan bhi apni nisar ki
Be-misl-o-be-misaal shahadat Hussain ki
Takht-e-Yazid khaak mein mil kar fana hua
Hain aaj bhi dilon pe hukoomat Hussain ki
Dil mein racha le Ishq tu Zahra ke laal ka
Mehshar mein rang laayegi chaahat Hussain ki
Maula ‘Ali ke laal ka adna ghulam hoon
Nisbat rahe, Ilahi ! Salaamat Hussain ki
Abu-Bakr aur Umar ke tufail, Aye Khuda-e-Pak !
Marne se pehle dekh loon turbat Hussain ki
Mehroom kaise ho bhala mangta Hussain ka
Khali phirana hai nahin aadat Hussain ki
Bhar bhar ke jholiyaan liye jaate hain sab gada
Mashhoor hain jahaan mein sakhaawat Hussain ki
Attar ki ye aarzu poori ho, Ya Khuda !
Is ko dikha de Khwab mein soorat Hussain ki
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी
अशफ़ाक़ अत्तारी मदनी
मदनी रज़ा अत्तारी
आरिफ़ अत्तारी
आसिफ अत्तारी
हसन अत्तारी