कर्बल में आले रसूल | आए दीन का गुलशन बचाने के लिए || Karbal Mein Aale Rasool | Aaye Deen Ka Gulshan Bachane Ke Liye
Karbal Mein Aale Rasool | Aaye Deen Ka Gulshan Bachane Ke Liye Lyrics
कर्बल में आल-ए-रसूल, बाग़-ए-सय्यिदा के फूल
आए दीन का गुलशन बचाने के लिए
हैदर के लख़्त-ए-जिगर, कर के तयबा से सफ़र
आए दीन का गुलशन बचाने के लिए
एक तरफ़ थे सिर्फ़ बहत्तर
एक तरफ़ लाखों का लश्कर
ऐसी हैबत थी तारी, बहत्तर लाखों पे भारी
इक सबक़ दे दिया है ज़माने के लिए
शब्बीर पीते हैं जाम-ए-शहादत
या करते हैं रब की ‘इबादत
सर पे ‘अज़मत का है ताज, रन में पढ़ते हैं नमाज़
अपने नाना की उम्मत बचाने के लिए
प्यास का ‘आलम, होंठ भी खोले
झूले से ‘अली असग़र बोले
बाबा ! अब कर दो क़ुर्बान, मेरी नन्हीं सी ये जान
दिल है बेताब अब तीर खाने के लिए
मैदान में ‘अली अकबर आए
सारे यज़ीदी के दिल थर्राए
रन में गरजे जैसे शेर, कितने दुश्मन हो गए ढेर
ढूँढे दुश्मन जगह मुँह छुपाने के लिए
यौम-ए-जज़ा तक याद करेंगे
शाकिर ! हम फ़रियाद करेंगे
मेरे मौला ! कर एहसान, हम भी हो जाएँ क़ुर्बान
अपने प्यारे नबी के घराने के लिए
Karbal mein Aale-Rasool, Baagh-e-Sayyida ke phool
Aaye Deen ka gulshan bachane ke liye
Haidar ke Lakht-e-Jigar, kar ke Tayba se safar
Aaye Deen ka gulshan bachaane ke liye
Ek taraf the sirf bahattar
Ek taraf laakhon ka lashkar
Aisi haibat thi taari, bahattar laakhon pe bhaari
Ik sabaq de diya hai zamane ke liye
Shabbir peete hain Jaam-e-Shahadat
Ya karte hain Rab ki ibaadat
Sar pe azmat ka hai taaj, ran mein padhte hain Namaz
Apne Nana ki ummat bachane ke liye
Pyaas ka aalam, honth bhi khole
Jhoole se Ali Asgar bole
Baba ! Ab kar do Qurban, meri nanhi si ye jaan
Dil hai betaab ab teer khane ke liye
Maidaan mein Ali Akbar aaye
Saare Yazidi ke dil tharraaye
Ran mein garje jaise sher, kitne dushman ho gaye dher
Dhoondhe dushman jagah munh chhupane ke liye
Yaum-e-Jaza tak yaad karenge
Shakir ! Hum fariyaad karenge
Mere Maula ! Kar ehsaan, hum bhi ho jaayen Qurban
Apne pyaare Nabi ke gharane ke liye
एहसान शाकिर आज़मी
हाफ़िज़ अब्दुल मन्नान
शमीम फ़ैज़ी
एहसान शाकिर आज़मी