हैदर का घराना कर्बल में क्या ज़ुल्म अनोखे सहता है || Haider Ka Gharana Karbal Mein Kya Zulm Anokhe Sehta Hai
Haider Ka Gharana Karbal Mein Kya Zulm Anokhe Sehta Hai Lyrics
हैदर का घराना कर्बल में क्या ज़ुल्म अनोखे सहता है
प्यासे हैं मुहम्मद के प्यारे और सामने दरिया बहता है
दिल डूब गया है बानो का और ख़ून का दरिया बहता है
जिस झूले में असग़र सोते थे, दो दिन से वो ख़ाली रहता है
ज़ैनब की नज़र है चौखट पर और कान लगे हैं आहट पर
जब कोई दुलारा बाहर हो तो माँ को खटका रहता है
ऐ कूफ़ियो ! क्या पाया तुम ने, उन पर ही सितम ढाया तुम ने
जिस घर का हर बच्चा बच्चा सरकार से निस्बत रखता है
ऐ शिम्र-ए-लईं ज़ालिम ! तू ने, क्या शाही गला काटा तू ने
बह जाते हैं आँखों से आँसू वो मंज़र सामने आता है
सज्जाद ! शहीदों का ग़म है, जितना भी लिखो उतना कम है
हर साल मुहर्रम में घर घर शब्बीर का चर्चा होता है
Haidar ka gharana Karbal mein kya zulm anokhe sahta hai
Pyase hain Muhammad ke pyare aur saamne dariya bahta hai
Dil doob gaya hai Bano ka aur khoon ka dariya bahta hai
Jis jhoole mein Asgar sote the, do din se wo khali rahta hai
Zainab ki nazar hai chaukhat par aur kaan lage hain aahat par
Jab koi dulara baahar ho to maa ko khatka rahta hai
Aye Koofiyo ! Kya paaya tum ne, un par hi sitam dhaaya tum ne
Jis ghar ka har baccha baccha Sarkar se nisbat rakhta hai
Aye Shimr-e-Laeen zaalim ! Tu ne, kya shahi gala kaata tu ne
Bah jaate hain aankhon se aansoo wo manzar saamne aata hai
Sajjad ! Shaheedon ka gham hai, jitna bhi likho utna kam hai
Har saal Muharram mein ghar ghar Shabbir ka charcha hota hai
सज्जाद निज़ामी