ज़मीन-ए-कर्बला तुझ पर अली का लाल आया है || Zameen-e-Karbala Tujh Par Ali Ka Laal Aaya Hai
Zameen-e-Karbala Tujh Par Ali Ka Laal Aaya Hai Lyrics
ज़मीन-ए-कर्बला तुझ पर ‘अली का लाल आया हैं
दिखाने हैदरी तेवर ‘अली का लाल आया हैं
अगर तुम बे-नमाज़ी हो, हुसैनी हो नहीं सकते
यही सजदे में बतला कर ‘अली का लाल आया हैं
चले जब ज़ुल्फ़िक़ार-ए-हैदरी मैदान में ले कर
यज़ीदी भाग उठे कह कर ‘अली का लाल आया हैं
नबी के दीन की ख़ातिर मदीने से सफ़र कर के
लुटाने घर कटाने सर ‘अली का लाल आया हैं
क़दम उन के पड़े तो यूँ लगा हैदर उतर आए
ज़मीं भी काँप उठी थर थर, ‘अली का लाल आया हैं
Zameen-e-Karbala tujh par Ali ka laal aaya hain
Dikhane Haidari tevar Ali ka laal aaya hain
Agar tum be-namaazi ho, Hussaini ho nahin sakte
Yahi sajde mein batla kar Ali ka laal aaya hain
Chale jab Zulfiqar-e-Haidari maidaan mein le kar
Yazidi bhaag uthe keh kar Ali ka laal aaya hain
Nabi ke Deen ki khaatir Madine se safar kar ke
Lutane ghar katane sar Ali ka laal aaya hain
Qadam un ke pade to yun laga Haidar utar aaye
Zameen bhi kaanp uthi thar thar, Ali ka laal aaya hain